لیکن لکھنا کیا ÛÛ’ØŒ ÛŒÛ Ø¨Ú¾ÛŒ تو بتائیں، مضمون، آرٹیکل، اÙسانÛØŒ تقریر؟؟؟؟؟
Is maah ka topic hay 'Chaand raat aur Eid'.
Rules:
Last Date 20 August 2012 hay
Aik Jaise Sharing Na Ho..
Faisla 50 % Polling or 50 % Admin team par depend karay ga.
Last edited by Falling Tears; 01-08-2012 at 11:39 PM.
Zindagi tu apnay he qadmun pe chalti hay Faraz
Auron k Sahary tu Janazy utha kartay hain
لیکن لکھنا کیا ÛÛ’ØŒ ÛŒÛ Ø¨Ú¾ÛŒ تو بتائیں، مضمون، آرٹیکل، اÙسانÛØŒ تقریر؟؟؟؟؟
لیکن لکھنا کیا ÛÛ’ØŒ ÛŒÛ Ø¨Ú¾ÛŒ تو بتائیں، مضمون، آرٹیکل، اÙسانÛØŒ تقریر؟؟؟؟؟
wohi na likhna kiya hy
Eeid wale din likhongi
Alhamdullilah
hmm..Pata nahiin meion Aabi aur haniya ko miss kertii hoon tu apney hero heroin ka name bhi wohi rakh diya
Mehndi,ChaanD raat,eiD aur Ek InTezaaR
Mehndi wale Hathoon Ka Rang pata Hai kyun Gehra ata hai?
kyun ke Eid Ke Din HumeiN Kisii ka Intezaar hota hai..ChaanD raat se...aur ChaanD Raat sey le kAr subhu hOney Tak Ghariyaal ki tik tik suntey MehnDi ke Geelay sukhey naksho nigaar dekhtey waqt Guzarta hai..aur us Guzartey waqt ke har har pal mein..
Mujhe tumhara intezaar Rehta hai aabi..
phir tUm mujhey wish kerte hO Tu Mujhey laGta hai Mujhe Do Jahaan ki khushiyaan mil gayi hon..
aur phiR pata Hai kiya...Kitni khoobsorat baat hai na ke phirr mere hathon se utarti mehndi ka rang itna khoobsurat ata hai ke mein..hairaan reh jaati hoon...
Aabii ke baghair Haniya veeraan hai uska koi wajood nahiin...
Aur Is baar bhi mein Ghariyaan ke har guzarne waley Ghante ka hisaab rakh rahi hoon ..Tumhein yaad kar rahii hoon..mehndi ke geelay sookhey nigaar ko dekhtey waQt Guzaar Rahii hoon..haan par is baar tuM naRaz hoNa aabi??
magaR mujhey YaQeen hai..Is ChaanD raat par..aneY wali Eid ki subhu per mehnDi se uthti khoobsorat mehak per.. key tum mujhe zaroR wish karogey..Mujhse zaror milney aoGey..
aoGey Na aabii...?? Tumhari Haniya....
Abhii Door Honey Ke Din nahiin hain
mujhe saath chahiye har pal Tera
Alhamdullilah
Aslam o Alaikomm
My Entry
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
Chaand raat aur Eid
Chand raat aur Eid umate muslama par Allah ka ahsaan hai Allah ne humhe ramzan ke sorrat mai 30 din Eid jaisa mahool diya.jish tarah pura ghar subah 3 se 4 baje uthta hai ankheein khul nahi rahe bhook lag nahi rahe magar ish khoof se ke pura din guzarna hai aik aik niwala karke khana khae jaa rahe phir glass barh barh ke pani pena aur phir sehri mai puri family jish tarah se enjoy karte hai aur phor roze mai sehri ke bad agar ap soo gaye tu ab Allah hi uthae ap ko ishi tarah jab shaam ko roza lag raha hoo tu aftari ka intizar aur phir ghar ki aurton ka 3 se 4 ghante kitchen mai guzarna aur phir aftari mai sabh ghar wale combine hoke pakore samoshe chane chaat etc khaa rahee aur phir 20 ramzan ke bad eid ke shopping par larkiyon ke interesting discussion jish mai pasand ke kapre aur ala bala shala aj kal tu larke bhi khob ahtamam se tayar horhae hain chand raat ko rishte daronon ke phones ana ke chand raat mubarak aur phir larkiyon ka choriyan pehne market jana aur mehndi lagwana deer takk chand raat ko jagna aur phir subah ghar ke mardon ka tayar hoker eid ke namaz parhne jana aur ghar akar eide dena aur wasol karna phir sheer khorma etc khana aur phir rishte daronon ka ana phone par internet par eid mubabark ke messages aur phir dopeer mai lazeez khane aur phir shaam mai har eid par mai sural jata hoon aur saliyon ko eide deta hoon..ishi tarah lagatar 3 din tak Eid ke bahareein jo ap ki yadon ka hisa bante jateein hain..Haqeqat mai Allah ne hume 1st ramzan se 3 shawal tak bepanah khusiyon se barhpoor life ke haseen tareen lamhe ata kiye hai in mai hum apne rishton ko jete hain aur phir ye sabh humhare yadeein ban jate hain..Ye mere parwardigar ap ka lakh lakh shukar ke ap ne hume 33 days unlimited khusiyon aur naimaton ke ata kiye