div56 - Nazam of the day 3rd aug 2012


Mujhey chaand k us paar jana hai

ek khuwaab meri khuwaish ka
jise rooz palkon se main ne choona
kuch ansoo mere gham k thy
kuch arzoo mere dil ki thi
jise rooz main kehti sunti thi

ek khuwaish meri thi chaand ki
mujhye chaand k us paar jana tha...
mujhye falak ki goud main sona hai
main sitaron ko choona chati hun
mujhey chand se batein kerni hai
mai ne chaand ki nagri jana hai

jab jab main ye kheti rehti thi
sab log prai mujh per hanstey thy
main pagal hun wo ayesa kehte thy
mujhey chand ki sair kerni hai...
ye zid apni pori kerni hai...
mujhey sitaraon ki nagri tum le chalon


main sab se ayesa kehti thi...
waha log mere jaisey hai...
apni duna main khush rehty hai
mere dil mai basi hai jo chandni
mujhey palkon per ese sajane don
meri anhokn mai jo tha khuwaab saja
use dil main utar jane don...
mujhey bas chand ki nagri jana hai

main jis dunya main rehti hun
waha dard ki barish main ankhein bheti hai
mere dil k tukrde kerke sab....
yaha k log mujh per hanstey hai
bat be bat taane kaste hai
main hans do tu wo pagal kahe
main jo ro don tu wo darama samjhe
main mohbbat karo tu wo badnaam kare
main nafrat karo tu usko bagwat naam dete hai
akhir main kaisey yaha saans le sako..?
jo meri burayi bas ginte hai...

kaisey main kisi se dil ki baat kahun..?
mujhey sab pagal samjh k chal detey hai
ye dunya mujhey meri nahi lagti ...
yaha k log mujh se kiyn jalte hai...
ye log mujhe apna samjh na sakey
main sitaron ko dost banaongi...
main taaron se baatein ker k sojaongi

Jab jab chand nikal k ayega
main use bahon main le ker
use es dunya ki baatein bataongi
wo chaand etna haseen hai ke
use koi aaeb mujh main nahi dikhta
wo dunya matlb ki nahi hai
wo dunya mere jaisi hai...

main chand ki agosh main rah ker
waha chain se jina chati hun
mujhey tum us paar le chalo..
jaha log sab mere jaisey hai..
jo chaand se baatein ker k sotey hai...
mujhey chand ki nagri jana hai
mujhey chand k us paar le chalo....

(Resham)


div56 - Nazam of the day 3rd aug 2012