-
Khuli jo aankh tou woh thaa na woh zamana tha
Khuli jo aankh tou woh thaa na woh zamana tha
dehkti aag thi tanhaayii thi fasana thaa.
Gamon ne baant liyaa hai mujhe yuon aapes mein
ke jaisey main koi loota hua khazana tha.
Ye kyaa ki chand he qadmon pe thak ke baith gaye
tumeh tou saath mera door taq nibhaanaa tha.
Mujhe jo mere lahoo main dubo kay guzra tha
wo koi gair nahin yaar ek puraana tha.
Khud apne he haath se usko kaat diya
ke jis darkhat kii tehni pe aashiyaana tha.
--Ferhat Shahzaad
Last edited by R. M. Dixit; 12-08-2012 at 09:35 PM.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules