Jaha jaiyegaa hume paiyegaa.
Aji ruthkar ab kaha jaiyega,
Jaha jaiyega hume paiyega.
Aji ruthkar ab kaha jaiyega
Aji ruthkar ab..........
Nigaaho se bachkar dikhaao to jaane,
Khayalo mein bhi tum naa aao to jaane,
Aji lakh pardo mein chhup jaiyega,
Nazar aaiyega.
Aji ruthkar ab kaha jaiyega,
jaha jaiyega hume paiyega.
Aji ruthkar ab..........
Jo dil mein hai hotho pe lana bhi mushkil,
Magar usko dil mein chhupana bhi mushkil,
Nazar ki juba se samajh jaiyega,
Samajh kar jara gaur farmaiyega.
Aji ruthkar ab kaha jaiyega,
jaha jaiyega hume paiyega.
Aji ruthkar ab..........
Ye kaisa nashaa hai, ye kaisa asar hai,
Naa kaboo mein dil hai, na bas mein nazar hai,
Jara hosh aa le chale jaiyega,
Thahar jaiyega
Aji ruthkar ab kaha jaiyega,
jaha jaiyega hume paiyega.
Aji ruthkar ab..........