Rang Ma!n Dekhti Thi, Khushbu Ma!n Sochti Thi__
Mujhe Gumaan Tha__
K Zindagi Ujli Khuwah!shon K Chiraagh Lay Kar__
Mere Dareechon Ma!n
Roshni Ki Naveed Lay Kar Utar Rahi Hai__
Ma!n Kehr Ma!n Chaandni Pehn Kar
Banafshi Badal Ka Hath Thamay
Fiza Ma!n Parwaaz Kar Rahi Thi__
Sama'aton Ma!n Sahaab Lehjon Ki Barishain Thi
Basaraton Ma!n Gulaab Chehron Ki Roshni Thi
Hawa Ki Resham Rafaqatain Thi'n__
Saba Ki Shabnum Anayatain Thi'n__
Hayaat Khuwabon Ka Silsila Thi__
Khuli Jo Aankha!n To Saray Manzar
Dhanak K Us Paar Reh Ga'ay Thay__
Na Rang Mere, Na Khuwaab Mere
Huway To Bas Kuch Azaab Mere
Na Chaand Raatain, Na PhooL Baatain
Na NeeL Subhain, Na Jheel Shaamain
Na Ko'i Aahat, Na Ko'i Dastak
Haroof Mafhoom Kho Chukay Thay
Alamatain Baanj Ho Ga'in Thi'n__
Gulaabi Khuwabon K Perahn Raakh Ho Chukay Thay
Haqeeqaton K Barhangi
Apni Saari Safakiyon K Hamraah
Jism O Jaan Par Utar Rahi Thi__
vVoh Mehrbaan, Sayaa Daar Badal
Azaab Ki Rut Ma!n Chorr Kar Mujh Ko Jaa Chuka Tha
Zameen Ki Taiz Dhoop Aankhon Ma!n Chubb Rahi Thi..!!