Results 1 to 3 of 3

Thread: Dhoop Ka Mausam__

  1. #1
    Join Date
    Feb 2009
    Location
    City Of Light
    Posts
    26,767
    Mentioned
    144 Post(s)
    Tagged
    10310 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    snow Dhoop Ka Mausam__

    Rang Ma!n Dekhti Thi, Khushbu Ma!n Sochti Thi__
    Mujhe Gumaan Tha__
    K Zindagi Ujli Khuwah!shon K Chiraagh Lay Kar__
    Mere Dareechon Ma!n
    Roshni Ki Naveed Lay Kar Utar Rahi Hai__

    Ma!n Kehr Ma!n Chaandni Pehn Kar
    Banafshi Badal Ka Hath Thamay
    Fiza Ma!n Parwaaz Kar Rahi Thi__

    Sama'aton Ma!n Sahaab Lehjon Ki Barishain Thi
    Basaraton Ma!n Gulaab Chehron Ki Roshni Thi
    Hawa Ki Resham Rafaqatain Thi'n__
    Saba Ki Shabnum Anayatain Thi'n__
    Hayaat Khuwabon Ka Silsila Thi__

    Khuli Jo Aankha!n To Saray Manzar
    Dhanak K Us Paar Reh Ga'ay Thay__

    Na Rang Mere, Na Khuwaab Mere
    Huway To Bas Kuch Azaab Mere
    Na Chaand Raatain, Na PhooL Baatain
    Na NeeL Subhain, Na Jheel Shaamain
    Na Ko'i Aahat, Na Ko'i Dastak
    Haroof Mafhoom Kho Chukay Thay
    Alamatain Baanj Ho Ga'in Thi'n__

    Gulaabi Khuwabon K Perahn Raakh Ho Chukay Thay
    Haqeeqaton K Barhangi
    Apni Saari Safakiyon K Hamraah
    Jism O Jaan Par Utar Rahi Thi__
    vVoh Mehrbaan, Sayaa Daar Badal
    Azaab Ki Rut Ma!n Chorr Kar Mujh Ko Jaa Chuka Tha
    Zameen Ki Taiz Dhoop Aankhon Ma!n Chubb Rahi Thi..!!



    3297731y763i7owcz zps9ed156a3 - Dhoop Ka Mausam__

    MAY OUR COUNTRY PROGRESS IN EVERYWHERE AND IN EVERYTHING SO THAT THE WHOLE WORLD SHOULD HAVE PROUD ON US
    PAKISTAN ZINDABAD











  2. #2
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    Karachi....
    Posts
    31,280
    Mentioned
    41 Post(s)
    Tagged
    6917 Thread(s)
    Rep Power
    21474882

    Default Re: Dhoop Ka Mausam__

    aha good


    Ik Muhabbat ko amar karna tha.....

    to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!


  3. #3
    Join Date
    Aug 2009
    Location
    Jodhpur . India
    Age
    83
    Posts
    6,218
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    23 Thread(s)
    Rep Power
    21474858

    Default Re: Dhoop Ka Mausam__

    Bahut achii nazm pesh ki aapne.
    Per Badi bahut hai read kerne
    aur samajhne main kaffi samaye
    chaahiye. Shukriya. Leejiiye ek
    shair btaurdaad pesh kerta hoon:

    Khuli jo aankh to wo tha na wo zaman tha
    dahakti aag the tanhayii the fasana tha.

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •