sham samay aaik oonchi seehriyon walay ghar kay angan mein
chand ko utaray daikha hum nay, chand bhi kaysa ? poora chand

insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay
mulkoon mulkon, shehroon shehroon, kaisa kaisa daikha chand

har aik chand ke apni dhuj thi, har aik chand ka apna roop
laykin aisa roshan roshan, hansta battain karta chaand ?

dard ke tees tu uth'ti thee, par itni bhi , bharpor kabhi ?
aaj say pehlay kab utra tha dil mein itna gehra chaand !

hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye
yeah bhi chand ka sapna ho ga, kaisa chand, kahaan ka chand ?

insha jee duniya waloon mein bay sathi bay doost rahay
jaisay taroon kay jhurmat mein tunha chand, akayla chand

in ka daman iss doulat say khali ka khaali hee raha
warna tha duniya mein kitnay chandi chand aur soona chand

jug kay charoon koot mein ghooma seelani hayraan howa
iss basti kay iss koochay kay iss angan mein aisa chand ?

ankhoon mein bhi chitwan mein bhi chand he chand jhalaktay hain
chand hee teeka, chand hee jhoomar, chehra chand aur matha chand

aik yeh chand nagar ka baasi jiss say door raha sunjoog
warna iss duniya mein sab nay chaha chand aur paya chand


anbar nay dharti par phaikee noor ke cheent udaas udaas
aaj ke shab tu andhi shab th, aaj kidhar say nikla chand ?

insha je yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yeahi hai
sab ke apni apni ankhain, sab ka apna apna chand

apnay seenay kay mat'la par jo chamka woh chaand howa
jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj'yaara, chaand

chanchal muskaati muskaati goori ka mukhra mehtaab
bath jhar kay pairoon mein at'ka peela sa ik patta chand

dukh ka darya skh ka sagar iss kay dam say daikh liyeah
hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand

jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha!
yeah kanta jo humain chubha hai kaash tujhay bhi chubhta chand

roshniyoon ke peeli kirchain, poorab pacham phail gaieen
tu nay kis shay kay dhookay mein pathar pay day tapka chand

hum nay tu dono ko daikha, dono he bay dard khathoor
dharti walla, anbar walla, pehla chand aur dooja chand

chand kissi ka ho nahi sakta, chand kissi ka hota hai ?
chand ke khatir zind nahi kartay, aye mairay achay insha chand