Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 10 of 28

Thread: My Collection

  1. #1
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    candel My Collection

    Ye Aankhein To Barasti Hain Aur Najaane Kab Tak Barasti Rahein

    Shayad Ta Qayamat Ye Saawan Na Bujhe

    Suno Jaana Ab Tum Laut Ke Mat Aana Kyun Ke Doobara Mill Ke

    Bicharne Ka Dukh Bohot Azziyat Naak Hota Hai

    Tum Jaao Aur Apni Dunya Main Khush Raho

    Ke Mujhe Yun Hi Tanha Tanha Pagal Pagal Rehne Do

    Mujhe Apni In Aankhon Ke Saawan Se Ishq Ho Chala Hai

    Ye Barasti Hain To Mujhe Sukoon Milta Hai

    Suno Jaana Tum Ab Laut Ke Mat Aana

  2. #2
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection

    Us Ne Mujhe Mohobbat Main Zinda Jala Diya Hai Magar

    Sachi Mohobbat Karne Waale Kabhi Marte Hi Nahin Usay Kehna

    Har Taraf Tanhaayi Hai Har Taraf Khamoshi Hai

    Main Phir Bhi Nahin Hoon Tanha Usay Kehna

    Yaadein Aaj Bhi Us Ki Meri Rooh Ko Roshan Rakhti Hain

    Sadiyon Se Jall Raha Hai Koyi Tanha Usay Kehna

    Us Ko Bhulaaoun To Kaise Bhulaaoun Main

    Naam Us Ka Mere Dil Pe Likha Hai Usay Kehna

    Maut Bhi Nahin Aati Mujhe Tere Gham_E_Hijr Main

    Sachi Mohobbat Ki Milli Hai Mujhe Saza Usay Kehna

    Barsaat To Ruk Hi Jaati Hai Zara Si Dair Baras Kar

    Sajid Ki Aankhon Ka Sawan Ab Tak Nahin Bujha Usay Kehna

    KHUDA Dushman Ko Bhi Ye Mohobbat Ka Rog Na Lagaaye

    Dua Main Wo Haath Uthaaye Usay Kehna

    Ab Jism Jale Rooh Jale Yaa Jale Meri Zindagi

    Hijr Main Sub Kuch Parta Hai Sehna Usay Kehna

    Aankhein Thak Si Gayi Hain Teri Raah Takte Takte

    Aankhon Main Ab Ik Toofaan Hai Usay Kehna

    Ye Dukh Bhi To Qayamat Se Kam Nahin Sajid

    Aankh Se Ashk Nahin Lahoo Barasta Hai Usay Kehna

  3. #3
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection

    Najaane Ye Kaisa Faisla Ho Gaya

    Wo Meri Zaat Se Juda Ho Gaya

    Wo Jo Meri Rooh Ka Saathi Tha

    Wo Mujh Se Door Ho Gaya

    Tanhaaiyaan Bhi Ajeeb Hain

    In Hijr Ki Raaton Main Sajid

    Jis Wehshat Se Main Bhaagta Tha

    Wohi Mera Naseeb Ho Gaya

    Khawab Kaise Kaise Us Ne

    Meri Aankhon Main Jagaaye Thay

    Un Khawabon Main Tujhe Dhoondna

    Ab Meri Taqdeer Ho Gaya

    Ab Bhi Waqt Hai Usay Jaa Ke Kaho

    Ke Laut Aaye Wo

    Ab Is Saans Ki Daur Ko Sajid

    Sambhaalna Mushkil Ho Gaya

  4. #4
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection

    Main Bohot Thak Chuka Hoon Tere

    Khayaal Ke Raaste Pe Chal Chal Ke

    Tere Hijr Main Jo Aziyatein Milli

    Unhein Seh Chuka Hoon Tarap Tarap Ke

    Mohobbat Marti Nahin Maar Deti Hai

    Mujhe Ye Raaz Pata Chala

    Khud Ko Tujh Se Juda Kar Kar Ke

    Tere Intezar Main Har Shaam

    Chokhat Par Diye Jalaana Main

    To Fanaa Ho Gaya Teri Yaad Main

    Raaste Saja Saja Ke

    Mohobbat Teri Apni Jaga Sajid

    Par Wafa Ki Umeed Na Rakh

    Ye Baat Pata Chali Mujhe

    Tujhe Aazma Aazma Ke

    Ashk Nikle To Cheekh Uthi Hasratein Tumaam

    Khawahishon Ko Mitaaya Maine Khud Ko Maar Maar Ke

    Jis Ki Aankh Se Nikle Ek Aansoo Par

    Main Tarap Jaaya Karta Tha

    Us Ne Mujhe Khushi Bhi Di To Rula Rula Ke

    Kal Aayine Ki Bhi Maine Kirchiyaan Kirchiyaan Kar Daali

    Har Baar Rulaata Tha Mujhe Aks Us Ka Dikha Dikha Ke

    Kal Is Shiddat Se Wo Mujhe Yaad Aaya Ke Raha Na Gaya

    Kar Diya Khud Ko Lahoo Lahoo Deewaron Pe Haath Utha Utha Ke

    Kal Kisi Ne Poocha Us Ke Hijr Main Kiya Karte Ho Sajid

    Num Aankhon Se Hum Ne Kaha

    Naam Us Ka Likhte Hain Rait Pe Mita Mita Ke

  5. #5
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection

    Main Aisa Musafir Hoon Jis Ki Koyi Manzil Nahin Hai

    Tanha Bhatak Raha Hoon Lekin Kuch Haasil Nahin Hai

    Kahan Jaa Ke Kahoon Main Apni Daastaan

    Koyi Bhi Sunne Waala Apna Nahin Hai

    Tanha Tanha Kahan Kahan Nahin Bhatka Main

    Lekin Raasta Dikhaane Waala Koyi Jugnoo Nahin Hai

    Tumhari Yaad Main Dunya Se Gaafil To Main Pehle Hi Tha

    Lekin Ab Tumhare Dil Tak Pohonchne Waala Koyi Raasta Nahin Hai

    Kitne Khawab Sajaaye Thay Tumhare Saath Rehne Ke

    Lekin Un Khawabon Ko Poori Karne Waali Koyi Taabeer Nahin Hai

    Tanha Phirta Rehta Hoon Main Har Pal Sehra Main

    Mere Dil Ki Pyaas Bhujaane Waala Koyi Saahil Nahin Hai

    Tumhari Yaad Main Bhaita Rehta Hoon Sahil_E_Samandar Ke Paas

    Lekin Hawa Keh Jaati Hai Ke Wo Ab Tera Nahin Hai

    Haathon Ki Lakeeron Main Dhoondne Ki Koshish Karta Hoon Tumhein

    Lekin Haathon Ki Lakeeron Main Kuch Likha Hi Nahin Hai

    KHUDA Ne Na Jaane Kaun Sa Naseeb Diya Hai Mujh Ko

    Jo Meri Zindagi Main Khushi Ka Ek Pal Bhi Nahin Hai

    Ab Sochta Hoon Bhula Doon Tumhari Yaadon Ko Apne Dil Se

    Lekin Tum To Meri Dharkan Ho Dil Main Kuch Rakha Hi Nahin Hai

    Tumhare Naam Kiya Tha Maine Zindagi Ka Ek Ek Pal

    Lekin Ab Tumhare Bina Zindagi Ka Ek Pal Guzarta Bhi Nahin Hai

    Is Qadar Pyar Ab Bhi Hai Tum Se O Sanam Bewafa

    Ke Tumhari Yaadon Main Tumhara Deewana Zinda Aaj Bhi Hai

    Bhatak Rahi Hai Dunya Meri Tumhari Raahon Main

    Ke Mere Qadam Dhoondte Tumhare Nishaan Aaj Bhi Hain

    Mohobbat Main Wafa Ke Naam Pe Bohot Bara Dhoka Khaaya Hai Maine

    Koyi Mujhe Dekhe To Kehta Hai Ke Tu Us Bewafa Ka Deewana Aaj Bhi Hai

    Kaanton Main Kabhi Na Uljhe Mere Yaar_E_Bewafa Ka Daaman Sajid

    KHUDA Se Us Ke Liye Meri Ye Dua Har Pal Aaj Bhi Hai

  6. #6
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection

    Aaj Khoon Ke Aansoo Rula Diya Us Ne

    Jisay Khud Se Zyaada Chaha Tha Hum Ne

    Zamaana Bhi Humdard Ban Gaya Mera Ye Haal Dekh Kar

    Kaash Mohobbat Bedard Dil Se Na Ki Hoti Hum Ne

    Judaayi Ka Har Lamha Sadiyon Sa Lagta Hai

    Kaash Ye Baat Pehle Khud Ko Samjha Li Hoti Hum Ne

    Mohobbat Bhala Kahan Paati Hain Manzilein Apni

    Kaash Raaston Ko Ye Baat Bata Di Hoti Hum Ne

    Bhatak Jaaoun To Koyi Raasta Dikha De

    Ab To Ye Aas Bhi Gawa Di Hai Hum Ne

    Teri Aankhon Ke Haseen Faraibon Ki Kasam

    Ab Kabhi Ishq Na Karein Ge Hum

    Ye Baat Aaj Dil Ko Sajid Samjha Di Hai Hum Ne

  7. #7
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection

    Sajid Jisay Tum Raahat_E_Jaan Samajhte Thay

    Wo To Azaab_E_Jaan Nikla

    Jisay Tum Sukoon_E_Zindagi Samajhte Thay

    Wo To Zindagi Ko Be Sukoon Kar Gaya

    Bolo Ab Kiya Karna Hai

    Rona Hai Yaa Marna Hai

    Tumhare Bus Main Kuch Nahin

    Tum Ko Mohobbat Ne Itna Nidhaal Kar Diya

    Ke Tumhein Apni Khabar Nahin

    Sadiyon Jaise Safar Ko Akele Kaise Kaato Ge

    Tanhaayi Dass Le Gi

    Us Ke Hijr Main Tum Waise Hi

    Zinda Laash Jaise Ho

    Aag Se Mat Khelo

    Khawab Jall Chuke Hain

    Magar Zindagi Parri Hai

    Umar Ka Ik Lamba Safar Tay Karna Hai

    Meri Maano Usay Bhool Jaao

    Maazi Main Kuch Nahin Rakha

    Siwaaye Kuch Yaadon Ke

    Ashkon Ke Azaabon Ke

    Jisay Tumhari Parwah Nahin

    Kyun Us Ke Peeche Tarapte Ho

    Mohobbat To Saza Hai

    Wafa Nahin Milti

    Saare Aalam Main Dhoond Lo

    Chahat Kisi Par Nahin Khulti

    Meri Maano Jis Ne Tumhein Chor Diya

    Tum Bhi Usay Ab Chor Do

    Jis Ne Tumhein Bhula Diya

    Tum Bhi Ab Usay Bhula Do

    Us Ki Yaadon Ka Har Ik Naqsh Mita Do

    Sajid Ab To Usay Bhula Do


  8. #8
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection


    Sajid Jisay Tum Mohobbat Kehte Ho

    Wo To Bus Sirf Ik Tijarat Hai

    Dilon Ka Soda Hai

    Ashkon Ka Azaab Hai

    Hijr Main Qayamat Jaisi Lambi Raatein Hain

    Khawab To Saare Jall Jaate Hain

    Pal Main Apne Badal Jaate Hain

    Zamaane Main Ruswaayi Milti Hai

    Magar Koyi Kyun Fikar Kare

    Chahat To Tumhari Hai

    To Ye Rona Kaisa Kisi Ki Bewafayi Par

    Khud Ko Is Tarah Tarpaana Kyun

    Veerane Main Aansoo Bahaana Kyun

    Ye Mohobbat To Tijarat Hai

    Apni Mohobbat Ko Bech Kar

    Ruswaayi Ashk Azaab_E_Hijr

    Azaab_E_Jaan Qayamat Bhari Raatein

    Tum Khud Khareedte Ho

    To Ye Mohobbat Kaisi

    Mohobbat Ka Badle To Mohobbat Milti Hai Na

    Lekin Dekho Mohobbat Main Kiya Kiya Milta Hai

    Pal Pal Ka Tarapna Bekaar Jaata Hai

    Tumhare Aisa Karne Se Kisi Ko Parwah Nahin Hoti

    Sajid Ye Mohobbat Nahin Sirf Tijaarat Hai


  9. #9
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection

    Kitne Barbaad Huye Is Anna Ki Khaatir

    Jin Main Ik Naam Sajid Ka Bhi Tha

  10. #10
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection


    Dukh To Kuch Kam Ho Jaata Hai Aansoo Bahaane Se Sajid

    Magar Ye Zakham Gehre Daag Chor Jaata Hai


Page 1 of 3 123 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •