Jo Dunya Ke Gham Main Muflis Huye Hain Sajid
Un Se Sirf Yehi Kehna Aarzooyein Ab Tak Mari Nahin
Kaise Rehte Hain Hijr Main Jeene Waale Sajid
Mujhe To Hijr Ke Ek Ek Pal Ne Zinda Maara Hai
Jo Dunya Ke Gham Main Muflis Huye Hain Sajid
Un Se Sirf Yehi Kehna Aarzooyein Ab Tak Mari Nahin
Mujhe Jo Dukh Milay Hain Sajid Un Main Se Ye Dukh Bhi Urooj Par Tha
Ke Umar Bhar To Safar Main Raha Kabhi Na Paayi Manzilein
Is Zindagi Ne Kuch Is Tarah Se Bhi Gham Bakhsha Hai Mujhe Sajid
Wo Mujh Se Juda Huya To Roya Bhi Nahin
Sadiyon Ik Aag Main Jalta Raha Hoon Main Sajid
Aag Lagaane Waala Bhi To Mera Maseeha Hi Tha
Mere Dil Ke Tukre Us Ne Kiye Sajid
Jis Ka Dil Maine Apne Dil Ke Saath Jora Tha
Mohobbat Ke Dard Ko Hum Ne Hamesha Paamaal Kiya Sajid
Lekin Jub Humein Mohobbat Huyi To Ye Azaab Umar Bhar Raha
Jis Raat Teri Yaad Toot Kar Aati Hai
Us Raat Hum Bhi Toot Kar Rote Hain
Sukoon Ki Neend Humein Qabar Main Bhi Mayassar Na Huyi Sajid
Mohobbat Aur Wafaaon Ki Saza Humein Qayamat Tak Milti Rahi
Usay To Hum Kab Ke Bhool Chuke Sajid
Dua Karo Ab Dil Se Ye Daag Bhi Door Ho Jaayein