Page 3 of 3 FirstFirst 123
Results 21 to 28 of 28

Thread: My Collection

  1. #21
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection


    Jo Shakhs Chehre Ki Tarjumaani Nahin Kar Sakta

    Us Shakhs Ne Sajid Abhi Khaane Bare Dhoke Hain



  2. #22
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection


    A KHUDA Kisi Ke Dil Main Mohobbat Ka Ye Rog Na Daal

    Agar Dena Hai Ye Dard To Sehne Ka Hausla Bhi De

    Wo Kaun Si Jaga Hai Jahan Main Jaa Kar Usay Bhool Sakoon

    Agar Aisi Koyi Jaga Nahin To Meri Saansein Mere Jism Se Nikaal De

    Dard Hi Dard Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

    A Mere Maula Main Ye Dard Nahin Seh Sakta Mujhe Kuch Pal Sukoon De Qarar De

    Mere Bus Main Kuch Bhi Nahin Siwaaye Is Ke Sajid

    Main Jahan Jaaoun Us Ki Yaad Mujhe Rula De

  3. #23
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection


    Us Ne Mujhe Aazmaayishon Main Daal Rakha Hai

    Muqaddar Main Kiya Hai Mere Maine Ye Ajeeb Sawal Rakha Hai

    Main Tanha Tha Ye Jaante Huye Bhi Us Ne

    Mujhe Saari Umar Tanha Rakha Hai

    Aankhein Bheeg Si Jaati Hain Jub Us Ka Naam Aata Hai

    A KHUDA Tu Ne Mohobbat Main Itna Dard Kyun Rakha Hai

    Mehfil_E_Uflat Main Kabhi Zikr_E_Wafa Na Karna

    Kuch Laugon Ne Apne Dil Pe Parda Daal Rakha Hai

    Aankhein Hi Keh Jaati Hain Udaasi Ka Sabab Sajid

    Tum Ne Kis Kis Se Apna Dard Chupa Rakha Hai

  4. #24
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection


    Ik Shaam Aisi Bhi Aaye Gi Jaana

    Jub Tum Apni Palkon Pe Meri Yaad Ke Aansoo Sajaao Gi

    Jis Pal Hum Bichre Thay Us Waqt Ko Zehan Main Laao Gi

    Kis Ne Banaayi Ye Mohobbat Us Ko Koso Gi

    Phir Kisi Shajar Ke Paas Tum Jaa Kar Tanha Khari Ho Jaao Gi

    Ke Jis Shajar Ke Neeche Hum Mila Karte Thay

    Jis Ki Chaaon Humein Thandak Bakhshti Thi

    Ke Jahan Hum Ne Sapne Sajaaye Thay

    Tum Us Pal Ko Yaad Kar Ke Phir Se Ro Do Gi

    Tumhare Aansoo Ponchne Waala Koyi Na Hoga

    Tumhein Shiddat Se Meri Yaad Aaye Gi

    Tum Mujh Ko Pukaaro Gi Har Jaga Lekin Mujh Ko

    Dhoond Na Paao Gi Aur Aise Aalam Main Khud Ko Bhool Jaao Gi

    Ke Jaane Waale Lauta Nahin Karte

    Tumhein Ishq Karne Ki Saza Maaloom Ho Jaaye Gi

    Ke Ye Jahan Jaana Deewano Ke Liye Nahin Bana

    Yahan Zamaane Ke Rasm_O_Riwaaj Jeet Jaate Hain

    Sachi Mohobbat Ka Haasil Kuch Milta Hai To Sirf Judaayi

    Lekin Jaana Tum Meri Yaad Main Aansoo Na Bahaana

    Ke Ye Naayaab Moti Is Zaalim Zameen Par Girein Mujhe Pasand Nahin

    Lekin Jaana Meri Yaad Main Tumhari Palkon Ki Dehleez Par

    Wo Naayaab Moti Aaa Jaayein To Samajhna Wo Main Hoon

  5. #25
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection


    Mere Khawabon Ko Jall Jaane De

    Phir Mujh Ko Ik Baar Mar Jaane De

    Aansuon Se Lara Tere Hijr Main

    Phir Dil Ne Kaha Inhein Beh Jaane De

    Hijr Ka Koyi Pal Azaab Bana To Koyi Qayamat

    Main Kaise Jeeta Raha Tu Ye Baat Jaane De

    Aankhein Banjar Huyi Zindagi Sehra Bani

    Ishq Main Ab Rooh Meri Jall Jaane De

    Bohot Anmol Saza Paayi Mohobbat Tujh Se Kar Ke

    Rote Rahe Tumaam Umar Ab Meri Aankhein Bujh Jaane De

    Rog Hi Aisa Laga Liya Tha Zindagi Ko Tu Ne Sajid

    Kabhi Muskurata To Aankhein Kehti

    Bheegi Palkon Se Lahoo Beh Jaane De


  6. #26
    Hidden words's Avatar
    Hidden words is offline "-•(-• sтαү мιηε •-)•-"
    Join Date
    Nov 2011
    Location
    Kisi ki Ankhon Aur Dil Mein .......:P
    Posts
    56,916
    Mentioned
    322 Post(s)
    Tagged
    10949 Thread(s)
    Rep Power
    21474906

    Default Re: My Collection

    bohaat zabrdast janab
    ap to ma sha ALLAH kafi acha poet hain
    keep it up /up
    suno hworiginal - My Collection
    575280tvjrzkx7ho zps19409030 - My Collectionღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ 575280tvjrzkx7ho zps19409030 - My Collection

  7. #27
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection


    Suno Jaana Aaj Tumhein Ek Such Bataana Hai

    Meri Tumaam Hasratein Mar Chuki Hain

    Tumaam Tar Khawahishon Ne Mere Andar Dum Tor Diya Hai

    Wo Tere Hijr Main Qayamat Ke Ek Ek Pal Beet Chuke Hain

    Saath Saath Chalne Ke Wo Khawab Jall Chuke Hain

    Ashkon Ke Samandar Tham Chuke Hain

    Main Tere Hijr Ka Ek Ek Dard Seh Chuka Hoon

    Teri Yaadein Jo Azaab Ban Ke Tootti Thi Mujh Par

    Wo Sub Kuch Main Seh Chuka Hoon

    Zindagi Main Ab Ek Sukoon Hai

    Suno Mohobbat Mar Chuki Hai


  8. #28
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: My Collection

    Suno Jaana Tumhare Hijr Main

    Tanhaayi Ka Azaab

    Ruswaayi Ka Azaab

    Ashkon Ka Azaab

    Dard_E_Dil Ka Azaab

    Tere Diye Huye Zakhmon Par

    Marham Lagaane Ka Azaab

    Chiraagh Bhuja Kar Shab Bhar

    Rote Rote So Jaane Ka Azaab

    Seh Chuka Hoon Main Bohot Tarap Chuka Hoon

    Har Zulm Khud Pe Dhaa Chuka Hoon

    Bohot Aansoo Baha Chuka Hoon

    Kehna Bus Ye Tum Se Hai

    Mohobbat Mar Chuki Hai

Page 3 of 3 FirstFirst 123

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •