Ajab din thay muhabbat kay
ajab mausam thay chahat kay
kabhi gar yaad ajein tu palkon par sitaray jhilmilatay hain
kisi ki yaad mein raton ko akser jagna mamol tha apna
kabhi gar neend ajti tu hum yeh soch letay thay
abhi tu wo hamary wastay roya nahi ho ga
abhi soya nahi ho ga
abhi hum bhi nahi rotay ,abhi hum bhi nahi sotay
so phir jab hum jagtay aur us ko yaad kartay thay
akelay beth kar dil barbad kartay thay
hamaray samnay taron kay jhurmat mein akela chand chand hota tha
jo us ki husan kay agay bhut hi mand hota tha
falak per raqas kartay unginat roshan sitaron ko
jo hum tarteeb detay tu un ka naam banta banta tha
hum aglay roz jab miltay thay tu guzri raat ki har bay kali k aziker kartay thay
har qisa sunatay thay
kahan , kis waqt , kis tarah dil dharka batatay thay
mein jab kahta tha kay janan aj tu mein rat ko pal bhar nahi soya
tu wo khamosh rahti thi
per us ki neend mein dhoobi hue do jheel si ankhein
achanak bol uthti thein
mein jab us ko batata tha
kau mein nay raat ko roshan sitaron mein tumara naam dekha ha
tu wo kahti thi razi tum jhot kahtay ho
sitary mein nay dekhay thay
aur un roshan sitaron mein tumara naam likha tha
ajab masoom larki thi
mughay kahti thi
'lagta ha kay ab apnay sitaray mil hi jaein gay '
magar us ko kiya khaber thi
kinaray mil nahi saktay
muhabat ki kahani mein
muhabbat karnay walon kay
sitaray mil nahi saktay...