Ek phool ko chooney ki khaatir
Kaantoon se zakhmi hote thay
Jo phool jholi mein aa girta
Ussay choone se dar jaate thay
Hum kaise pagal hote thay
Ke dhundhle aaenoon mein apna
Hum aks sa dhoondha karte thay
Aur kircheyaan chitkhey aaenoon ki
Mutthi mein daba kar rakhte thay
Hum kaise pagal hote thay
Jab sarak pe chalna hota thaa
Hum kashti le kar chaltay thay
Aur beech bhanwar jaane ke leye
Hum paidal nikla karte thay
Hum kaise pagal hote thay
Jab baarish barsa karti thee
Hum chatri mein chup jaate thay
Aur jalti dhoop main nange sar
Hum chat per uchla karte thay
Hum kaise pagal hote thay
Jab paas bahat woh hota thaa
Hum us ko dekh na saktey thay
Jab door chala jata tha woh
Hum aahat us ki suntey thay
Hum kaise pagal hote thay
Jab saari duniya soti thee
Hum chaand se khela karte thay
Jab saari duniya jaag uth'tee
Tu thak kar hum so jaate thay
Hum kaise pagal hote thay
Hum kitne pagal hotay thay
Hum aaj bhi waise pagal hain
Per phir bhi aksar sochtay hain
Hum kaise pagal hote thay...