tujh ko darya ne jo dekha hai idhar atay huay
kuch bhanwar doob gaye aab main chakratay huay
hum ne to raat ko daanto’n se pakar rakha hai
chheena jhapti main ufaq khulta gaya jatay huay
jhhap se utar jaati hai paani main gulnaar shafaq
surkh ho jatay hain rukhsaar bhi sharmatay huay
main na hoon ga to khizaan kese katay gi teri
shokh pattay ne kaha shaakh se murjhatay huay
hasratain apni bilaktee’n na yateemo’n ki tarah
hum ko awaz he de letay zara jatay huay
see leay hont wo pakeeza nigahain sun ker
meli ho jati hai awaz bhi dohratay huay
(Gulzar)