Zain
"Muhabbat" "Muhabbat" Sirf or sirf "Muhabbat".... Duniya ki mutinaza-tareen cheez hai.....
Jiski jitni Damaghi Silayet hai wo utna hi isse samajhta hai...
ager aik fard "like" kerta hai tu 2sra "Dislike" krta hai us k views k saat....
According to my view Mohabbat Jazbaat say Labraiz aik aisa rishta hai jo k Andha hotahai... or us Nabeeni (Andha pan) mein wo shakhs apni Zindgi ka madar just aik insan tak mehdod ker leta hy... Wo aakhein band karta hai to usay dekhta hai, aakhein kholta hai tousay dekhna chahta hai...Wo paas nahi hota to usay charo taraf mehsoos karta hai. Har pal,har ghari, har waqt, usi ki lagan rahti hai.... or ye lagan apne he rastoon se intahye gahrayi mein utarti chali jati hai.... Is har pal,har ghari,har waqt,or uski lagan mein Wo itna Dhoob chuka hota hai k apne 2sray Rishton ki Mohabbat ko mukamal tor pr nazar andaz kr deta hai...chahey wo us k apne Khooni Rishte "MAA" "Baap" jin k qadmoon mein Mohabbat apna sir rakh k bethi hoti hai.... "Behan" "Bahi" Jo khud Mohabbat hote hain or Dost jin se mohabbat banti hai he kyun na hun,,, or han Susraliyye b...!
Wo mukamal tor pr ya farz ker leta hai k us ka jeena marna sirf aik shaks k saat wabasta hai...Or yahi waja hoti hai k us shaks k chorne pr wo har us shaks se nata torne pr umada ho jata hai jo us se mohabbat kerte hn...
Ishfaq Ahmad is Mohabbat ko "Ishq-e-Majazi" ka naam dete hn... {Apni anna aur nafs ko aik insan tak mahdud kr lena}
Muhabbat Kya Hai Mat Pocho Isse Bus Raaz Rehne Do........♥
Ye Aesa Lafz Hai Jiss Ki Wazaahat Rog Hoti Hai........♥
sarfraz_qamar
میں Ù†Û’ Ú©Ûیں پڑھا تھا Ú©Û Ù…Ø+بت ÙاتØ+ عالم Ûوتی ÛÛ’ اور مجھے اس جملے Ú©ÛŒ سچائی پر Ø°Ø±Û Ø¨Ø±Ø§Ø¨Ø± Ø´Ú© Ù†Ûیں۔مØ+بت دلوں پر ÙتØ+ کرنا اور پھر ان پر راج کرنا سکھاتی Ûے،مØ+بت انسان Ú©ÛŒ ذات میں Ù¹Ú¾Ûراءو پیدا کرتی Ûے۔اس پر Ø¢Ú¯ÛÛŒ Ú©Û’ نئے نئے در وا Ûوتے Ûیں۔مØ+بت ایک Ø°Ù†Ø¯Û Ø+قیقت ÛÛ’ ۔اس میں ÙˆÙا اور بے ÙˆÙائی بے معنی اور اضاÙÛŒ باتین ÛیںلÛزا کسی Ú©Û’ Ú†Ú¾ÙˆÚ‘ جانے سے،کسی قسم Ú©Û’ منÙÛŒ جذبات پیدا ÛÙˆÚº Ú¯Û’ یا پھر ÙˆÛ Ø§Ø³ ایک شخص Ú©ÛŒ ÙˆØ¬Û Ø³Û’ باقی رشتوں سے Ùرار چاÛÛ’ گا،سراسر غلط بات Ûوگی۔مØ+بت تو انسان Ú©Ùˆ رشتوں Ú©ÛŒ Ù¾Ûچان کرواتی ÛÛ’ØŒÙراق گورکھپوری Ú©ÛŒ ایک لائن میرے دماغ میں گھومتی ریتی ÛÛ’"Ù…Ø+بت ایک داخلی عمل Ûے،اس داخلی عمل سے Ø+سن Ú©Û’ اقدار Ú©ÛŒ تخلیق Ûوتی ÛÛ’Û”"Ù…Ø+بت انسان Ú©Ùˆ Ø+د Ø¯Ø±Ø¬Û Ø+ساس بنا دیتی Ûے،مØ+بت دینا سکھاتی ÛÛ’ Ù†Û Ú©Û Ù„ÛŒÙ†Ø§ اور ایک ایسے انسان Ú©ÛŒ تخلیق کرتی Ûےجو Ù…Ø+بت بانٹ تو سکتا ÛÛ’ مگر چھین Ù†Ûیں سکتا۔۔۔۔۔۔۔۔Û
عالم٠ذات میں درویش بنا دیتا ÛÛ’
عشق انسان Ú©Ùˆ پاگل Ù†Ûیں Ûونے دیتا
سرÙراز قمر
๓เรђคคl
100 % insaan aisa hi react karta hai ! ! ! !
Beshak insaan bara nashukra hai ...! ! !
JO insaan aik rishte ke liye apne sab rihton ko side se laga de uski mohabbat kia mohabbat hoti hai?
Is tarhan tu uski mohabbat parr bhi shak hone lagta hai k us aik person se bhi hai ya nahiin??
Shayad mohabbat ka exactly kia meaning hai insaan ko khud bhi khabar nahiin...sirf aik insaan se doori kiya saari mohabbatein bhula deti hain?? Sirk aik person apki mohabbat ko thukra de tu aap sari khushion aur mohabbaton se khud go door karleinge? Ghalat hai nashukra pan hai ! Allah itna nawaz deta hai aur insaan ki aik azmaish bhi hoti hai tu woh ghabraa jata hai..naraz hojata hai akarne lagta hai apne saath hue ki saza apne se wabasta pyaron ko deta hai..yeh kaisi mohabbat hai?? Insaan fitratan jaldbaaz hai baad mein usko ehsaas hota hai ke mein kaisi mohabbat karta tha..usne mujhe chordia tu mein kyun apne se wabista itni mohabbaton se khafa hoon..kuch log jald samajh jate hain aur kuch ko buhut dair hojati hai..aur sari umar pachtave ki aag mein jalte hain aur yeh nashukri aur jaldbaazi ki saza phiR kaatni hi parti hai...!
Vampire
"agar insaan ko woh shakhs chor dey jo us se mohabbat karta hai to waqti tor par to usko bohat ghum mehsus hoga aur baaz oqaat aisa b lagta hai k zindagi khatam hogayi hai. waqti tor par aisa ho b sakta hai k woh dusray log jo us se mohabbat kartay hain un se sahi pesh na aye par kisi k chor janay se yaan chalay janay se zindagi khatam to nahi hojati insaan ko agay barhana parhta hai aur waqt aik aisi cheez hai jo har zakham ko bhar deta hai .."
maliha farhan
Main nahi manti is baat ko k jis shakhs say aap ko mhbt ho woh chor dey to aap bakion ko chor do mohabbat to hasas logon ka kam hai aur hassas log ksi ko dukhi nahi dekh saktay han jo log ek kay peechay sab ko chor detay hain woh yaqeenan Nashukray aur Khudgarz hain jinhen sirf apni fikar hoti hai woh har wqt yehi rotay rehtay hain kay hum say mhbt chin gayi ya door hogayi is baat ka shukar nahi ada kartay kay Allah nay unhen aur kitnay mohabbat karnay walay log diey hain to jo shkhas itnay saray logon ki mhbt ki qadar nahi karta yaqeenan os ko mhbt ki alif bay ka bhi nahi pata hoga . Allah tak janay ka rasta os kay bando say mohabbat hai to jo shakhs sirf ek insan ki wajha say sab ko chor sakta hai aap socheye kay woh Allah say bhi mhbt nahi karta hoga kion kay hamen sab say mohabat say pesh aanay ka hukam hai na k munh mornay ka specially apnay ghar walon ka ehsas karna chahye insan ko .
captain planet
Insani nafsiyat smjhi nahi jaskti ye paich dar paich oljhi hue hai baz okat insan k kisi fail ko mantiq ya aqli dala'el sy nahi parkha jaskta...
isliye ye mumkin hai k insan mohabbat k choot jany py un logo ko ignore kr dy jo us k lie sarapa mohabbat hen. zahir hai wo sadma me hota hai usy shock pohncha hota hai, wo ye b soch skta hai k me mohabbat k kabil e nae hoon shayed, aisi soch k zer e asar wo apny chahny walo ki mohabbat ko thukra deta hai or aesi soch me wo khud ko bebus or kamzor pata hai,,,
par ye sub wkti hota hia , mery khayal sy jub wo smjh jata hai k wo saraab k pechy bhag raha hai to wo normal hojata hai or us k normal hony me wohi log mojod hty hen jo us sy mohabbat krty hen..