jagti raat k honton pe fasane jaise
aik pal mein simat aye hon zamane jaise
aqal kehti hai bhula do jo nahi mil paya
dil wo pagal k koi baat na maney jaise
raste mein wohi manzar hain purane ab tak
bas kami hai to nahi log purane jaise
aaeena dekh k ehsas yahi hota hai
le gia waqt wo umaron k khazane jaise
raat ki ankh se tapka hoa aansu Wasi
makhmali ghaas pe moti k hon daney jaise