nice
Ujhre Howe Logo Se Gureza Na Howa Ker
Halat ki qabro k ye qutbay bhi perha ker
Na jane kien teez hawa soch mein gum hai
Khawabida perindo ko darakhto se urha ker
Us shakas k tum se mirasam hein to hungay
Wo jhoot na bole ga mere samane a ker
Ab dastagain day ga to kaha ay gham e ahbab
Main ne to kaha tha mere dil mein raha ker
Her waqat ka hansna tuje barbaad na ker day
Tanhai k lamho mein kabhi ro bhi liya ker
Wo aaj bhi sadio ki musafat pay khara hai
Dondhta tha jise waqat ki diwar gira ker
Barham na ho kam fehmi kota nazar per
Ay qamat e fun apni bulandi ka qila ker
Ay dil tuje dushman ki bhi pehchan kaha hai
Tu halq e yaara mein bhi muhtat raha ker
Main mar bhi chuka mil bhi chuka mooje hawa mein
Ab rayt k sinay pay mera naam na likha ker
Pehlay sa kaha meri raftar ka alam
Ay gardish e dora zara tham tham k chala ker
Is raat mein kaha phool khilain gay dil e nadaa
Zakhmo ko he wabasta zanjeer e saba ker
Ik rouh ki fariyad ne chonka diya muj ko
Tu ab to muje jism k zindan se raha ker
Is shab k muqadar mein sehar he nahi Mohsin
Dekha hai kai baar chiragho ko buja ker
Merey jaisi aankhon walay jab Sahil per aatay hain
lehrain shor machati hain, lo aaj samandar doob gaya