boht achi nazm hay,,or mashaAllah boht nikhaar aata jaraha tumhari poetry main,,aik mamooli si islaah krna chahon ga,,or ye sirf tumhari hosla afzaae kay liye hay,,is say tumhari nazm ki achaae pr koi asar nahi parta
teri aarzo
teri justajo
teri tamanah ki
in teen misron main ``teri`` ki jaga ``tumhaari`` hona chahiye tha,,kyon kay nazm ki ibtada say ``tumhi``tumhare`` istamaal hoaiy hain,,to ab takallum ``teri nahi hosakta,, aik wqt main aap aik mukhatib ko tumhare or tere nahi kah saktay... urdu ka usool hay kay too say tere ...or tum say tumharay...
umeed tum isay sirf islaahi or tameeri tanqeed samjho gi,,,main isi tarha dosron ki tanqeed hi say seekhta hon.agar kuch bura lagay to zuroor batana,,takay aainda mujh say kisi ki dil aazaari ya hosla shikni na ho.. boht saari daad