Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 11

Thread: -=Issi Mod Pe=-

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    `~Tanhai~`
    Age
    34
    Posts
    301
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    12105

    shot -=Issi Mod Pe=-

    ~`Isi Mod pe`~

    jab tum pe had se zaiyada yakeen ker liya
    jab tumhare liye jeena shuru ker diya
    her ik pal tumhe socha
    her dhadkan mein tumhi sama gaye the
    her sapna tumhare liye dekha
    jab kisi ki parwa na ki
    apni her dua mein tumhe maanga
    teri aarzo
    teri justajo
    teri tamanah ki
    haan isi mod pe
    isi mod pe
    tumne bewafai ki


  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    shahr e karachi
    Posts
    522
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    boht achi nazm hay,,or mashaAllah boht nikhaar aata jaraha tumhari poetry main,,aik mamooli si islaah krna chahon ga,,or ye sirf tumhari hosla afzaae kay liye hay,,is say tumhari nazm ki achaae pr koi asar nahi parta
    teri aarzo
    teri justajo
    teri tamanah ki

    in teen misron main ``teri`` ki jaga ``tumhaari`` hona chahiye tha,,kyon kay nazm ki ibtada say ``tumhi``tumhare`` istamaal hoaiy hain,,to ab takallum ``teri nahi hosakta,, aik wqt main aap aik mukhatib ko tumhare or tere nahi kah saktay... urdu ka usool hay kay too say tere ...or tum say tumharay...
    umeed tum isay sirf islaahi or tameeri tanqeed samjho gi,,,main isi tarha dosron ki tanqeed hi say seekhta hon.agar kuch bura lagay to zuroor batana,,takay aainda mujh say kisi ki dil aazaari ya hosla shikni na ho.. boht saari daad
    love thou - -=Issi Mod Pe=-

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    `~Tanhai~`
    Age
    34
    Posts
    301
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    12105

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    Quote Originally Posted by Đŕeåmẹr View Post
    boht achi nazm hay,,or mashaAllah boht nikhaar aata jaraha tumhari poetry main,,aik mamooli si islaah krna chahon ga,,or ye sirf tumhari hosla afzaae kay liye hay,,is say tumhari nazm ki achaae pr koi asar nahi parta
    teri aarzo
    teri justajo
    teri tamanah ki

    in teen misron main ``teri`` ki jaga ``tumhaari`` hona chahiye tha,,kyon kay nazm ki ibtada say ``tumhi``tumhare`` istamaal hoaiy hain,,to ab takallum ``teri nahi hosakta,, aik wqt main aap aik mukhatib ko tumhare or tere nahi kah saktay... urdu ka usool hay kay too say tere ...or tum say tumharay...
    umeed tum isay sirf islaahi or tameeri tanqeed samjho gi,,,main isi tarha dosron ki tanqeed hi say seekhta hon.agar kuch bura lagay to zuroor batana,,takay aainda mujh say kisi ki dil aazaari ya hosla shikni na ho.. boht saari daad
    ahaan thankx
    arey nahi aisi koi b baat nahi hai k mein naraz hun gi ya mujhe bura lage ga mujhe khushi hoi hia k apne mujhe bataya hai itne chote chote points the aur mujhe samjh nahi aye ab aainda khayaal rakhun gi aur nxt mein b ghaltiyan zaroor bataye ga

  4. #4
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Charagh Tallay
    Posts
    149
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    bohat khoob.. mukhtasar magar pur'asar.. achi nazm kahi.. likhti rahiye.. aur bhi nikhaar aaye ga.. daad qabool kijiye.. aur Zubair sahib ne.. "shotter gharba" ki janib jo ishara kiya.. wo durust hai .. magar ye koi aisa bara fault nahi .. wazn poora kernay ke liye.. Ghalib.. meer jaisay shoara bhi ye ghalti kertay rahen hein.. haan magar iss se misray ki khoobsoorti per farq zaroor parta hai.. misray mein maanwiyat ke saath saath sheriyat bhi honi chahiye.. aap filhaal rawani per bharpoor tawaju dein.. jab rawani aa jaye gi to wazn samjhny mein bohat asani rahy gi.. Zubair aur Zain sahib se islaah leti rahiye ga.. Bohat Nawazish..

    kher'andesh
    .
    .
    koitaveezho - -=Issi Mod Pe=-

    .....JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN.....

  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    `~Tanhai~`
    Age
    34
    Posts
    301
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    12105

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    ji zaroor ab dehaan rakhun gi aur INSHALLAH likhte likhte i guess behtari ati jaye gi

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    4,000
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474857

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    Ussi mor per tum nay Bewaayi ki ...

    Zbrdst

    Bht acha likha hai ...or app ko islah b mil gayi

    bas asy hi likhti raho inshaAllah or b zada acha likho gi

  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    2,050
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    33 Thread(s)
    Rep Power
    4498041

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    Assalam-o_Alikum WR WB

    MAshalah bhot achi kosish hay ....

    khayal pasnd aya hay mujhy

    FeamNAllah

  8. #8
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    Bhot acha likha hai AG leken wahe gurbar hue hai..aik dum se sequence toat gaye teri ki waja se wo change karlo baki sahe hia sub

  9. #9
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi
    Posts
    14,318
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    193 Thread(s)
    Rep Power
    10737448

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    Bohat Bohat khoob.. bohat dil se likha hay

  10. #10
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    `~Tanhai~`
    Age
    34
    Posts
    301
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    12105

    Default Re: -=Issi Mod Pe=-

    ap sab ka bohat shukriya

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •