Yeh life b kitni ajeeb cheez hai na k sometimes hum aisi situations me a jate hain k chahne k bawjood kuch kar nhi pate. Kisi bht apne ki khushi ki khatir apni khushi apni khawahish ko nazar andaz kar dete hain aisi surat me hum kitne bebas ho jate hain n ye bebasi hamain andar hi andar mar dalti hai phr koi khushi hamein khushi nhi lagti n hum bht khushi ki situation me bhi apne andar aise sanate utarte mehsoos karte hain k hamain bhr k shoor se aisi wehshaat hoti hai k dil chahta hai k kahein bhaag jayein n sometime hum apne andar ki khamoshi se itna ghabra jate hain k bahar ki dunia me shoor talashna shuru kar dete hain. Hum ajeeb situation face kar rhe hote hain but hum apne dil ki baat kisi se keh nhi pate n andar hi andar ghutte rehte hain n baz severe cases me depression me bhi chale jate hain.
Hum apne aaap ko jitna marzi reality pasand keh lein but hum sab kisi haad tak ideal life chahte hain jahan koi tension na ho but in reality life is not actually a bed of only flowers but also a bed of thorns.
Shaid apni khawahishon k against ja kar hum sab aisi hi situations face karte hain but in sab baton ko feel zaroor karte hain chahe unconsciously hi ignore nhi kar pate.