Dhoop Chaaon
“Tum nay yeh Dhoop Chaaon dekhi hai?†Khairdeen nay yak dam Chirya ko mukhaatib kartay hue kaha.Chirya nay Park mai dhalti dhoop ki surkhi ko dekha jo ab Park kay aik konay mai simat rahi thi.
“Yaad hai jab hum Subha ahan iss bench per akr bethay thay tu yahan dhoop thi phir aahista aahista woh dhoop yahan say wahaan agayi……Kabhi tum nay saara din dhoop aur chaaon ko aik jagah jamay dekha hai?â€Uss nay narm awaz mai Chirya say poocha.Uss nay nafi mai sir hilaa diya.
“Zindagi bhi aisi hi hoti hai is mai bhi dhoop chaaon aik jagah nahi rehti…..Kabhi buray din hotay hain phir acchay ajatay hain phir acchay guzar jatay hain aur buray ajatay hain……Per accha bura koi waqt kabhi kisi Insaan k liye mustaqil nahi rehta.â€
An Excerpt From:
Aks