ALLAH(SWT) Ki Mohabbat
"Abu bin adhem aik abid-o-perhez gaar shakhs thay.Aik raat ko achanak in ki aankh khul gai thi.Unka kamra noor se roshan tha.Unho ne aik farishtay ko dekha jo apni sunehri kitaab main kuch likh raha tha."
Buhat ahistagi se Falak ne apni band aankhan khol di theen.Uss ki sama'atain ab khirki ke baher goonjnay wali aawaz per markooz thi.Razia taqreeban her lafz ko buhat buray tareeqay se ada kar rahi thi magar woh phir bhi lafzon ko pehchan rahi thi.
"Abu bin adhem ne farishtay se poocha ke woh kiya keraha hai to us ne kaha ke un logon ke naam likha raha hoon jo Allah se mohabbat kerte hain."
Falak ab saans rok chuki thi,us ka dil buhat tezi se dharak raha tha. Razia ab larkharati awaaz k saath buhat ruk ruk ker bol rahi thi.
(Abu bin adehm ne poocha kiya is fehrist main inka naam bhi shamil hai?Farihstay nay nafi main jawaab diya to Abu bin adhem nay darkhuast ki ke unka naam bhi un logon main shamil kerliya jaye jo apnay saathi insaanon se mohabbat karte hain.)
Falak ko apni aankhon main kuch kirchiyan chubti mehsoos hoi theen.
"Farishtay ne Abu bin adhem ka naam likha aur gayab hogaya, agli raat farishta phir aaya aur uss nay Abu bin adhem ko un logon ki list dikhai jin se Allah mohabbat kerta hai.
Abu bin adhem ka naam us list main sab se ooper jagmaga raha tha."
Razia aik baar phir apne sabaq ko shuroo se parhnay main masroof thi.Aur Falak ander kisi patthar kay but ki tarah saakit bethi thi. Gaalon per phisalta huwa garam pani uss ki god main rakhay hue haathon per gir raha tha.
"Aur main tum tak kisi insaan k liye kuch kiye baghair hi pohanchna chahti thi phir tum rasta kesay dikhatay?Aur ab agar main logon k zariye tum tak aaun to kiya tum mujhe mil jao ge?Kese log hote hain.Allah jin se mohabbat kerta hai, jinhain too chahata hai, jinhain too mil jata hai?Kiya Abu bin adhem jesay log?Aur in ki tarah kesay bana jata hai?Allah too bata unn main kiya khaas cheez hoti hai."
From Sheher e Zaat !!!