Wo Shakhs Kabhi Dasht Say Guzray Usay Kehna,
Ek Pal Meray Ghar Main Bhi Thehray Usay Kehna.
Kehna Kay Samundar Kay Kinaray Pe Na Jaye,
Kuch Log Samundar Say Bhi Hain Gehray Usay Kehna.
Zarr-Khaez Zameen Kabhi Banjar Nahen Hoti,
Dariya Hi Badal Letay Hain Rastay Usay Kehna.
Kuch Log Safar Kay Liye Mouzu Nahen Hotay,
Kuch Rastay Kaatay Nahi Tanha Usay Kehna.
Is Shehar Main Kuch Keh Kay Gunah-Gaar Na Hona,
Kay Basti Kay Sub-Hi Log Hain Behray Usay Kehna.
Phir Waqt Kay Maqtal Main Sajjti Hain Woh Aankhen,
Jo Dykhti Hain Khuwaab Sunehray Usay Kehna.
Wo Shakhs Mujhe Piyara Hai Usay Kehna,
Wo Jeenay Ka Sahara Hai Usay Kehna.
Log Piyaray Hain Buhat Say Mujh-Ko,
Wo Sub Say Piyara Hai Usay Kehna.
Mohabbaten, Shikayaten, Adawaten Us-Ki,
Mujhe Sub Guwara Hain Usay Kehna.
Kacha Ghara Hai Aur Main Thaka Thaka Sa Hun,
Buhat Door Hai Kinara Usay Kehna.
DiL Kay Badlay JaaN Mat Mango,
Mujhe Is Main Hai Khasara Usay Kehna.
Doob Na Jaun Tere Chahat Kay Samundar Main,
Wohi Hai Mera Kinara Usay Kehna.
Zindagi Kar Di Hai Ussi Kay Naam Par,
Wo Kar Kay Dekhay Ishara Usay Kehna.
Chahnay Waalay Aur Bhi Hain Humaray Lakin..!
Wo JaaN Say Bhi Piyara Hai Usay Kehna...!~