MeiN kai rutoN se hooN dekhta ke tamaam rang heiN bujhey huwey
Ye ab ke khizaaN ko kya huwa kiuN meri nighaah meiN thehar gai
meiN kya bataaoN ke ab ki baar chaman ki haalat ajeeb thi
har phool maatam-sara mila meri jahaN jahaN bhi nazar gai
ye kon jaaney ke kya huwa meiN dhoond dhoond ke thak gaya
ke wo jo aik titli thi baagh meiN wo bhi naajaaey kidhar gai
abhi hai zara wo asar jisey meri zaat ne pooja kabhi magar
wo januN to kab ka khatam huwa wo soorat to dil se utar gai
mujhey kis jurm ki saza mili ke meri rooh tak hai thaki hui
meiN apni jaga se hilaa nahi meri saaNs phir bhi ukharr gai
ye chiraagh-e-jaaN bhi ajeeb hai ke jala huwa hai abhi talak
teri bewafaai ki aaNdhiyaaN to kabhi ki aa ke guzar gaeeN
merey aasmaaN ke haath meiN bas aik chaand tha aas ka
usey baadloN ne nigal liya to meri kainaat hi ujarr gai..