Zulf RAton si, rangat hai ujaalon jaisi
Zulf raaton si, rangat hai ujaalon jaisi,
par tabiyat hai wohi, bhoolnay walon jaisi..
Dhoonta phirta hun, logon mein shabahat uski,
k wo khwabon mein b lagti hai, khayalon jaisi..
Uski baatein b dil aawaiz hain, surat ki tarha,
meri sochain b pareshan, meray baalon jaisi..
Uski aankhon ko kabhi gaur say dekha hai FARAZ?
ronay walon ki tarha, jagnay walon jaisi...!!