Page 4 of 10 FirstFirst ... 23456 ... LastLast
Results 31 to 40 of 99

Thread: Anna Parast Tha

  1. #31
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Teri yadon ki rawani or ye december
    Meri batein , teri kahani or ye december
    Mera hath tera sath , lambi sarak or ye
    December
    Gum sum shaamain , sunehri raatain or ye
    December
    Bheigy din , madham suraj , halky badal or ye
    December
    Behti nadiya , gaatay panchi , urti dhund or ye
    December
    Tanha me , tanha chand , mera kamra or yeh
    December
    Meri ankhein , mere aansu , meri neend , tere khawab or ye
    December

  2. #32
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Kuch Baatein Hum Se Suna Karo Kuch Baatein Hum Se Kia Karo !!

    Mujhe Dil Ki Baat Bata Do Tum Hont Na Apne Siya Karo !!
    ...
    Jo Baat Labon Tak Na Aaye Wo Ankhon Se Keh Diya Karo !!

    Kuch Baatein Kehna Mushkil Hain Tum Chehre Se Parh Liya Karo !!

    Jab Tanha Tanha Hote Ho Awaz Mujhe Tum Diya Karo !!

    Her Dharkan Tere Naam Karo Her Sans Mujh Ko Diya Karo !!

    Jo Khushiyan Teri Chahat Hain Mere Daman Se Chun Liya Karo !!

  3. #33
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Charag-E-Aftab Gum Bari Haseen Raat Thi..!!

    Shabab Se Naqab Gum Bari Haseen Raat Thi..!!

    Pila Rahi Thi Wo Mujhai Khud Hi Shama Bujh Gayi..!!

    Glass Gum Sharab Gum Bari Haseen Raat Thi..!!

    Likha Tha Jis Kitab Main Ishq To Haram Hai..!!

    Hoi Wohi Kitab Gum Bari Haseen Raat Thi..!!

    Labon Se Lab Jo Mil Gaye Dilon Se Dil Jo Mil Gaye..!!

    Sawal Gum Jawab Gum Bari Haseen Raat Thi..!!

  4. #34
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Usay yeh dar tha k sitaray na guftagoo sun lain
    Mujhay yeh fiker thi k sooraj nikalnay wala hay

  5. #35
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Mohabbat dil ka sajda hai,Jo ha toheed per qaiyam
    "Nazar" ke shirk walon se,Mohabbat rooth jati hai

  6. #36
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Wohi karwa’an, wohi raaste, wohi zindagi, wohi marhale …

    Magar apne apne maqam par kabhi tum nahi kabhi hum nahi

  7. #37
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Mohabbat Ki Kahani Main Koi Tarmeem Mat Karna..

    Mujhay Tum Tor Dena Par mjhay Taqseem Mat karna

  8. #38
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Mere Zehan Ko Jo Nahi Qabool Wohi Log Hain Mere Humsafar…
    Mujhe Har Tarha Se Jo Raas Tha Wohi Shakhs Mujh se Bichar Gaya. .

  9. #39
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Apne asool youn bhi kabhi todne parhe
    Uski khatir Haath mujhe jodne parhe

    Aaya na jab Qarar Dil-e-BeQarar ko
    Yadon k rukh Tumhari taraf mujhe modne parhe

    Usko to meri yaad bhi aayi na eik din
    Apne paraye jis k liye mujhe chorne parhe

    Mohsin woh shakhs khud bada ba-asool tha
    Humain apne asool jis k liye todne parhe

  10. #40
    Join Date
    Nov 2012
    Location
    pakistan
    Age
    36
    Posts
    117
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    449 Thread(s)
    Rep Power
    13

    Default re: Anna Parast Tha

    Nazr mila ke zara dekh mat jhuka aankhen
    barha rahi hain nigahon ka hosla aankhen
    -
    jo dil mein aks hai aankhon se b wo chlake ga
    dil aaina hai magr dil ka aaina aankhen
    -
    wo ek sitara tha jaane kahan gira ho ga
    khala mein dhoond rahi hain na jaane kia aankhen
    -
    gham-e-hayat ne fursat na di tthehernay ke
    pukarti he rahi hain mujhe sada aankhen
    -
    ye us ka tarz-e-takhatub b khoob hai mohsin
    ruka ruka sa tabassum... khafa khafa aankhen

Page 4 of 10 FirstFirst ... 23456 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •