kaisay hain aap saba
yeh to aap ko pata hi hoga kay main shadi per gayi thee lahore bht dino say soch rhi thee kay zra wahan ka ehwal hi likh don lekinhamna ki tabiyat hi theek nhi ho rahi thee
Aaj zra theek haisocha chalo lagay hathon likh hi dalon
To hoa kuch yun kay main gayi apni nand ki shadi main aur is baar Eid bhi wahin ki thee main nye
Mashaa Allah bht ronaq thee saray bhai with family first tym ikathay thay bht maza aayaIs dafa laga han waqayi Eid hoi hai
to janab jatay hi hamaray bazaron kay chakar shuru tym kam aur muqabla sakht kapray ready nahi thay na function kay na ghar kay isi bhag dor main din guzartay hi chalay gaye yahan tak k 6th november aa gayinahi nahi yeh shadi ka din nahi hai balkay is din hamaray ghar mai mehmann aanay walay thay Karachi say subha 5 bajay ki pehli flight say raat 3 bajay tak aakhri toli aayi
Mashaa Allah 100 log aaye thay hamaray ghar Karachi say.......... hamara ghar ksi Railway station ka sa manzar pesh kar rhaa thaa
har jaga bag hi bag bachon ki chan paan log hi og kay hamen chakar aanay shuru ho gaye bahar haal adjust ho hi gaye ksi na ksi tarha aa khir hum maizbaan jo thay to janab shuru ki mehman darii hum ko din main taray nazar aa gaye 7 hum Bahuen Mashaa Allah 5 full tym kam waliyan aur kitchen kay kam hi nahi khatam hotay thay khana to khair bahr say paak kay aata tha Chinyot Kitchen say yeh bhi shukar hai kay sath hi thaa ghar kay isi liey zyada tangi na hoi lekin nashta aur chayeeeeeee
Dopehar 2 bajay tak hum nashtay karwa kay farigh hotay thay aur phir chaye hi chaye koi kahay Meethi chaye dena koii kahay pheeki chaye dena aray doodh itna kam koi aray doodh zyada kar dia aur hum bas mukura kay reh jatay aakhir ghar walay jo thay /hah2
Sab baray baray bhi khoob khush ho kay mil kay bethay khoob khanay peenay kay plan bantay aur sath nand kay saman ki tayari bazaron kay chkar aur bachon ki beemari ko na bholen aap yeh hum nay sath sath bhugtaya kitchen kay ilawa
To mai bata rhi thee k sab baray mil bethay thay aur jab baray bethen aur kuch dhamaka na ho aisa to ho hi nahi sakta to hoa dhamaka hamaray sar per bhi lekin kiaa yeh kal bataon gi
To be continued......