Assalam O Alaikum

Sab dost in sha ALLAH theek hongay , aur jo dost kisi pareshani mein mubtala hain Allah SWT unki pareshaani ko door farmaye ameeen

Naseeb ..

yeh woh lafz hai jo ham aksar suntay aye hain har fard ki zubaan say k shayad naseeb mein nahi tha , mera naseeb hi bura hai , yeh woh etc etc

par kion nahin hum yeh bhi sochtay k ALLAH SWT hamain woh ataa kartey hein jo hamare liye buhut acha hoota hai naa kay woh detey hein jo hamare liye acha na ho , beshak ALLAH SWT hi sab kuch behtar jantay hain kiya acha aur kiya bura hai

Hum Log naseeb ka likha hua maan laitey hein par dil ki satisfaction kion nahin hoti ?
ham ba zahir tu keh detey hein k yar Naseeb ki baat hai , ALLAH k faislay par hum raazi par dil phir bhi wohi maang raha hota hai kahin na kahin ..
yeh satisfaction kaisay mumkin hai

Aap sab ki raye ka muntazir
Talib E Dua

Anjana !