Lo jee aa gayi mai baqi kahani kay sath
to janab yeh 8th november ki baat hai kay hum dopehar ko nashta kar wa kay farigh hoay ek taraf dulhan ka saman bhi ja rha thaa 2,bhabhiyan os main lagi theen aur 2,3 bazar ja rhi theen kay achanak baron main ek shor sunayi diya k nikah kar letay hain koi keh rha thaa mangani kar letay hain chalo bulao os say hi pooch letay hain hum bhi heran pareshan k dekha devar sahab tashreef la rahay hain aur un say poocha ja raha hai han bhai mangni karen ya nikah aur hum herat say ek doosray ko dekhen yeh kia majra hai abhi to hum shadi kay kamon say nahi niptay aur yeh kia iftad aan pari kuch kuch irada to thaa kay shadi kay baad aisa kuch hona hai lekin achanakto janab sab ki mushtarka razamandi say shadi say ek din pehlay yani 9th nov ko dever ki mangni hona qarar payi phuppo ki nawasi say
lekin tym to dekhen aap dopehar kay 3 baj rahay hain ghar main afra tafri aur kal mangni ki tayari mangni ki dulhan kay kapray cheeezen
![]()
aur yehi nahi isi khushi main raat ko BBQ bhi hoga /gussa to janab mukhtalif bhabhio kay zimay mukhtalif kam lagay mei aur ek aur bhabhi dress silwanay kay liey bhagay bazar (pehlay say lay kay rakhay thay kay irada thaa) lekin yeh kia bazar kaisay jaenn bachay ro rahay bari mushkil say bacho ko un kay abu kay suprad kar kay bazar gaye ab chalo jee chakar shuru pehlay tailor kay pass gaye os nay to sar pakar lia aagay hi shadi kay sab kapray aur hamaray sab kapray wohi see rha thaa tym nhi thaa shadi mai ek din reh gaya aur yeh nayi museebat bari hi mushkil say osay razi kia aur hum cheezen ikathi karnay bhagay dyer ko dye karnay walay cheezen deen aur baki cheezen khareednay bhagay kabhi idher kabhi udher mujhy bht pareshani hoi kion kay woh market mere liey itni jani hoi nahi thii khair isi mai kafi tym ho gaya k ghar say phone aana shuru ho gaye aur mobile ki battery dead bar bar kholon kabhi mere hsbnd ka ph kbhi jeth ka
bhag kay tailor kay pass gaye os ko mobile charge karnay ko dia itnay main thori bht dant kha hi chukay thay hum 10,15 sec ko jo ph khula to k kahan reh gaye kab aao gaye jaldi karo
phir yeh k tailor ko meri shirt per lagany walo les pasand nahi aayi bhabhi kehnay lagen main change karwa kay aati hon tum yahin rehna ab woh gayin to kahan itni dair guzar gayi main kharay kharay pareshan sab aatay jatay dekhen aur har banda mujhy mashkook lagay mai nay socha chalo dekhti hon itni door to shop nahi thee aur main kho gayijee han kion kay mujhy pata hi nahi thaa market ka andazay say shop per phunch to gayi to shopkeeper nay bataya aap ki bhabhi to kab ki chali gayin wahan say mai tailor kay pass gayi os nay bhi yehi kaha
khair ek jaga jahan woh mujhy chor kay gayin theen wahin khari hoi sitam yeh kay un kay pass ph bhi nahi thaa main nay mian jee ko ph lagaya k main aa jati hon ghar (ghar ka address to pata thaa /hah2) woh kehnay lagay k nahi ruko main aa rha hon kahin kho na jana tumhen yahan ka kia pata lekin Allah ka karam kay bhabhi mil gayin main zra sa aagay gayi to wo aa gayin aur mujh say lipat kay ronay lagin kay tum kahan kho gayin theen tumhaen to rastay bhi nahi pata yahan kay main nay kaha main yahin kahri theen kehnay lagin main to 5 min bad hi aa gayi thee tum nahi theen yahan agar tum na milti to tumharay mian nay to mujhy mar dena thaa k kahan guma aayin meri BV ko jab kay osay pata bhi nahi hai yahan ka khair un ko tasali dee main nay ph kar kay kheriyat ki itlaa ki aur hum ghar rawana ho gaye ghar phunchay to ek aur khabar woh yeh kay mangni mai diey janay walay suit dulhan kay saman kay sath chalay gaye
aur sab sar pakar kay beth gaye wahan say la bhi nahi saktay thay aur BBq ki tayariyan bhi urooj per theen mehman bhi aana shuru ho gaye thay kia karen thakay haray sar pakar kar beth gaye martay kia na kartay k musdaq chalo kal dekha jaye ga
sab logon ko emergency mai mangni kay bulaway diey aur khair say mangni ka din bhi aa gaya suit bhi shukar hai sahi sil kay aa gaya ab rasam to shuru karo koi lekin yeh kia mangni ki angothi kahan hai
Woh to jeth kay pass hai woh banwa kar laye hi nahi (hamara gold ka apna kam hai to ring khud hi bana rahay thay wo) baray bhai ka mood kharab saas pareshan aur tym guzarta ja rha thaa aakhir kar woh aa hi gaye aur khair say mangni hoi aur apnay ikhtatam ko phunchi (Alhamdulilah)
to be continued..........