Page 3 of 3 FirstFirst 123
Results 21 to 25 of 25

Thread: Lahore tour ka ehwal part 2

  1. #1
    Join Date
    Sep 2011
    Location
    Jadoo Nagri
    Posts
    19,712
    Mentioned
    198 Post(s)
    Tagged
    8340 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Lahore tour ka ehwal part 2

    Lo jee aa gayi mai baqi kahani kay sath

    to janab yeh 8th november ki baat hai kay hum dopehar ko nashta kar wa kay farigh hoay ek taraf dulhan ka saman bhi ja rha thaa 2,bhabhiyan os main lagi theen aur 2,3 bazar ja rhi theen kay achanak baron main ek shor sunayi diya k nikah kar letay hain koi keh rha thaa mangani kar letay hain chalo bulao os say hi pooch letay hain hum bhi heran pareshan k dekha devar sahab tashreef la rahay hain aur un say poocha ja raha hai han bhai mangni karen ya nikah aur hum herat say ek doosray ko dekhen yeh kia majra hai abhi to hum shadi kay kamon say nahi niptay aur yeh kia iftad aan pari kuch kuch irada to thaa kay shadi kay baad aisa kuch hona hai lekin achanak to janab sab ki mushtarka razamandi say shadi say ek din pehlay yani 9th nov ko dever ki mangni hona qarar payi phuppo ki nawasi say lekin tym to dekhen aap dopehar kay 3 baj rahay hain ghar main afra tafri aur kal mangni ki tayari mangni ki dulhan kay kapray cheeezen
    aur yehi nahi isi khushi main raat ko BBQ bhi hoga /gussa to janab mukhtalif bhabhio kay zimay mukhtalif kam lagay mei aur ek aur bhabhi dress silwanay kay liey bhagay bazar (pehlay say lay kay rakhay thay kay irada thaa) lekin yeh kia bazar kaisay jaenn bachay ro rahay bari mushkil say bacho ko un kay abu kay suprad kar kay bazar gaye ab chalo jee chakar shuru pehlay tailor kay pass gaye os nay to sar pakar lia aagay hi shadi kay sab kapray aur hamaray sab kapray wohi see rha thaa tym nhi thaa shadi mai ek din reh gaya aur yeh nayi museebat bari hi mushkil say osay razi kia aur hum cheezen ikathi karnay bhagay dyer ko dye karnay walay cheezen deen aur baki cheezen khareednay bhagay kabhi idher kabhi udher mujhy bht pareshani hoi kion kay woh market mere liey itni jani hoi nahi thii khair isi mai kafi tym ho gaya k ghar say phone aana shuru ho gaye aur mobile ki battery dead bar bar kholon kabhi mere hsbnd ka ph kbhi jeth ka
    bhag kay tailor kay pass gaye os ko mobile charge karnay ko dia itnay main thori bht dant kha hi chukay thay hum 10,15 sec ko jo ph khula to k kahan reh gaye kab aao gaye jaldi karo
    phir yeh k tailor ko meri shirt per lagany walo les pasand nahi aayi bhabhi kehnay lagen main change karwa kay aati hon tum yahin rehna ab woh gayin to kahan itni dair guzar gayi main kharay kharay pareshan sab aatay jatay dekhen aur har banda mujhy mashkook lagay mai nay socha chalo dekhti hon itni door to shop nahi thee aur main kho gayi jee han kion kay mujhy pata hi nahi thaa market ka andazay say shop per phunch to gayi to shopkeeper nay bataya aap ki bhabhi to kab ki chali gayin wahan say mai tailor kay pass gayi os nay bhi yehi kaha khair ek jaga jahan woh mujhy chor kay gayin theen wahin khari hoi sitam yeh kay un kay pass ph bhi nahi thaa main nay mian jee ko ph lagaya k main aa jati hon ghar (ghar ka address to pata thaa /hah2) woh kehnay lagay k nahi ruko main aa rha hon kahin kho na jana tumhen yahan ka kia pata lekin Allah ka karam kay bhabhi mil gayin main zra sa aagay gayi to wo aa gayin aur mujh say lipat kay ronay lagin kay tum kahan kho gayin theen tumhaen to rastay bhi nahi pata yahan kay main nay kaha main yahin kahri theen kehnay lagin main to 5 min bad hi aa gayi thee tum nahi theen yahan agar tum na milti to tumharay mian nay to mujhy mar dena thaa k kahan guma aayin meri BV ko jab kay osay pata bhi nahi hai yahan ka khair un ko tasali dee main nay ph kar kay kheriyat ki itlaa ki aur hum ghar rawana ho gaye ghar phunchay to ek aur khabar woh yeh kay mangni mai diey janay walay suit dulhan kay saman kay sath chalay gaye aur sab sar pakar kay beth gaye wahan say la bhi nahi saktay thay aur BBq ki tayariyan bhi urooj per theen mehman bhi aana shuru ho gaye thay kia karen thakay haray sar pakar kar beth gaye martay kia na kartay k musdaq chalo kal dekha jaye ga
    sab logon ko emergency mai mangni kay bulaway diey aur khair say mangni ka din bhi aa gaya suit bhi shukar hai sahi sil kay aa gaya ab rasam to shuru karo koi lekin yeh kia mangni ki angothi kahan hai
    Woh to jeth kay pass hai woh banwa kar laye hi nahi (hamara gold ka apna kam hai to ring khud hi bana rahay thay wo) baray bhai ka mood kharab saas pareshan aur tym guzarta ja rha thaa aakhir kar woh aa hi gaye aur khair say mangni hoi aur apnay ikhtatam ko phunchi (Alhamdulilah)
    to be continued..........

  2. #21
    Join Date
    Jun 2011
    Location
    China
    Posts
    4,834
    Mentioned
    29 Post(s)
    Tagged
    9237 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Lahore tour ka ehwal part 2

    wah wah maliha...kya mazay ka likha hay ..
    aur u ki kya halat hu gi mai samajh sakti hun
    chaloo Alhumdulillah mangi muki ...ab shadi ka intizar hay
    Zindagi tu apnay he qadmun pe chalti hay Faraz
    Auron k Sahary tu Janazy utha kartay hain

  3. #22
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Apne E Ap mein,,,
    Posts
    20,230
    Mentioned
    12 Post(s)
    Tagged
    3230 Thread(s)
    Rep Power
    21474871

    Default Re: Lahore tour ka ehwal part 2

    hahahahahahah
    what a funny situation when u are searching for ur Bhabi nd she is looking 4 u!!!!!!!
    hansi nae ruk rae


  4. #23
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Lahore tour ka ehwal part 2

    lolzzz agaye kiya hua

  5. #24
    Join Date
    Sep 2011
    Location
    Jadoo Nagri
    Posts
    19,712
    Mentioned
    198 Post(s)
    Tagged
    8340 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Lahore tour ka ehwal part 2

    Quote Originally Posted by Vampire View Post


    hahaha wah aur nahi to kiya shadi karwana koi asaan hota hai sirf dulha dulhan hi mazay main hotay hain baqi to afra tafree machi hoti hai
    bara dilchasp surat e haal lag rahi me ko khawateen ko to bohat kaam karna parhtay hain mardon ki nisbatan
    Han bht kammmm hotay hain sab say bara kitchen phir bachay phr bazar dimagh ki dahee ban jati hai but bht maza aaya aur mai sab ki miss kar rhi hon itnay saray log thay wahan yahan sara din main akeli hoti hon kio k bhabhi bhi abhi wahin hai bht boriyat hai yahan
    Quote Originally Posted by LoViNg IrFaN View Post


    wo mene sb baton ki summary likh di thi ek line main
    parh k b maza aya aur main experience b karchuka hn ese mahon main shadi, punjab mn cousin ki shadi pe taqreeban taqreeban sara khandaan jama hwatha, us time b yehi haal tha jesi hal chal u logon pe guzri
    aur ye wali eid mene b punjab mn guzari thi
    hmmm jab main nay tafseel say likha to jawab bhi tafseel say chahye han bht maza aata hai aur taqreeban har shadi shyed aisay hi hoti hai wah kitna maza aaya hoga na sab kay saath eid karnay ka
    Quote Originally Posted by rupanzeel View Post
    amazing kya maze ki situation hai u ki bataon se lag raha k me k bhai ki shadi pe bhi aise hi afra tafri ho gi
    han bilkul aisa hi hota hai har shadi main siwaye aap ki apni shadi k tab aap aaram say bethay hotay ho aur baqi bhag rahay hotay hain
    Quote Originally Posted by SenoriTa View Post
    MashALLAH
    ik ki mangni ik ki shaadi

    kam kitna ziada barh chuka ho ga mughe andaza hai
    per ye k waqti tor pe gussa b araha hota k uff ye kam kese ho ga fir jab ho jata to hansi aati k kia satuation thi...

    fir age kiya hua
    han bas mangni to bas achanak hi galay main par gayi bechari dulhan ki bhi khawar kar diya hum ko driving hi nahi aati ksi ko bas dulhan ki hi aati thi bechari ko lay lay kay jaa rahay thay har jaga shadi say 3 din pehlay sab naraz hoay bhaion ko kay 8 ho aur behan khud ja rhi hai har jaga drive kar k
    han ab to mai sab yaad karti hon aur hansti hon akelay aur koi kaam hi nai bataon gi abhi aagay kia hoa
    Quote Originally Posted by Falling Tears View Post
    wah wah maliha...kya mazay ka likha hay ..
    aur u ki kya halat hu gi mai samajh sakti hun
    chaloo Alhumdulillah mangi muki ...ab shadi ka intizar hay
    han na situation hi mazay ki thee khud ba khud mazay ka likha gaya
    han na Allah ka shukar hai sab kher o aafiyat kay sath nipat gaya lekin meri beti ko aisa virus laga hai wahan say kay 2 maheenay honay walay theek hi nahi ho rhi

    Quote Originally Posted by captain planet View Post
    hahahahahahah
    what a funny situation when u are searching for ur Bhabi nd she is looking 4 u!!!!!!!
    hansi nae ruk rae
    mujhy laga woh gum ho gayin un ko laga kay main aur jab hum mil gaye woh to bechari rona shuru ho gayin wahin bazar main humen bhi hansi aayi thee bht ghar ja kar
    Quote Originally Posted by naz View Post
    lolzzz agaye kiya hua
    aagay bas shadi ka waqiya hai woh bhi likhti hon

    Sorry frnds sab ko ek hi thread main tarkha dia meri beti ki tabiyat kafi kharab hai isi liey mujhy tym hi nahi mil rha kuch karnay ka sorry

  6. #25
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Karachi
    Age
    35
    Posts
    32,906
    Mentioned
    46 Post(s)
    Tagged
    5939 Thread(s)
    Rep Power
    21474885

    Default Re: Lahore tour ka ehwal part 2

    Quote Originally Posted by maliha farhan View Post



    hmmm jab main nay tafseel say likha to jawab bhi tafseel say chahye han bht maza aata hai aur taqreeban har shadi shyed aisay hi hoti hai wah kitna maza aaya hoga na sab kay saath eid karnay ka

    acha g thek hai ainda tafseel se ajaya karega


    punjab ki kafi shadyan is tarah k hangami halaat wali hoti hain aur bht hi ziada maza ata hai
    yup... 4 saal bad gye thay to bht maza aya
    [/COLOR]

    8bffd51cd2705b99335ce635a13dbb09 zps81c9bfed - Lahore tour ka ehwal  part 2

    ..!!


Page 3 of 3 FirstFirst 123

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •