..
maliha mujhe disprin ki tablet do... uff had ho gayee waqayi...
i imagine.. kiya situation hogi..
Lo jee aa gayi mai baqi kahani kay sath
to janab yeh 8th november ki baat hai kay hum dopehar ko nashta kar wa kay farigh hoay ek taraf dulhan ka saman bhi ja rha thaa 2,bhabhiyan os main lagi theen aur 2,3 bazar ja rhi theen kay achanak baron main ek shor sunayi diya k nikah kar letay hain koi keh rha thaa mangani kar letay hain chalo bulao os say hi pooch letay hain hum bhi heran pareshan k dekha devar sahab tashreef la rahay hain aur un say poocha ja raha hai han bhai mangni karen ya nikah aur hum herat say ek doosray ko dekhen yeh kia majra hai abhi to hum shadi kay kamon say nahi niptay aur yeh kia iftad aan pari kuch kuch irada to thaa kay shadi kay baad aisa kuch hona hai lekin achanak to janab sab ki mushtarka razamandi say shadi say ek din pehlay yani 9th nov ko dever ki mangni hona qarar payi phuppo ki nawasi say lekin tym to dekhen aap dopehar kay 3 baj rahay hain ghar main afra tafri aur kal mangni ki tayari mangni ki dulhan kay kapray cheeezen
aur yehi nahi isi khushi main raat ko BBQ bhi hoga /gussa to janab mukhtalif bhabhio kay zimay mukhtalif kam lagay mei aur ek aur bhabhi dress silwanay kay liey bhagay bazar (pehlay say lay kay rakhay thay kay irada thaa) lekin yeh kia bazar kaisay jaenn bachay ro rahay bari mushkil say bacho ko un kay abu kay suprad kar kay bazar gaye ab chalo jee chakar shuru pehlay tailor kay pass gaye os nay to sar pakar lia aagay hi shadi kay sab kapray aur hamaray sab kapray wohi see rha thaa tym nhi thaa shadi mai ek din reh gaya aur yeh nayi museebat bari hi mushkil say osay razi kia aur hum cheezen ikathi karnay bhagay dyer ko dye karnay walay cheezen deen aur baki cheezen khareednay bhagay kabhi idher kabhi udher mujhy bht pareshani hoi kion kay woh market mere liey itni jani hoi nahi thii khair isi mai kafi tym ho gaya k ghar say phone aana shuru ho gaye aur mobile ki battery dead bar bar kholon kabhi mere hsbnd ka ph kbhi jeth ka
bhag kay tailor kay pass gaye os ko mobile charge karnay ko dia itnay main thori bht dant kha hi chukay thay hum 10,15 sec ko jo ph khula to k kahan reh gaye kab aao gaye jaldi karo
phir yeh k tailor ko meri shirt per lagany walo les pasand nahi aayi bhabhi kehnay lagen main change karwa kay aati hon tum yahin rehna ab woh gayin to kahan itni dair guzar gayi main kharay kharay pareshan sab aatay jatay dekhen aur har banda mujhy mashkook lagay mai nay socha chalo dekhti hon itni door to shop nahi thee aur main kho gayi jee han kion kay mujhy pata hi nahi thaa market ka andazay say shop per phunch to gayi to shopkeeper nay bataya aap ki bhabhi to kab ki chali gayin wahan say mai tailor kay pass gayi os nay bhi yehi kaha khair ek jaga jahan woh mujhy chor kay gayin theen wahin khari hoi sitam yeh kay un kay pass ph bhi nahi thaa main nay mian jee ko ph lagaya k main aa jati hon ghar (ghar ka address to pata thaa /hah2) woh kehnay lagay k nahi ruko main aa rha hon kahin kho na jana tumhen yahan ka kia pata lekin Allah ka karam kay bhabhi mil gayin main zra sa aagay gayi to wo aa gayin aur mujh say lipat kay ronay lagin kay tum kahan kho gayin theen tumhaen to rastay bhi nahi pata yahan kay main nay kaha main yahin kahri theen kehnay lagin main to 5 min bad hi aa gayi thee tum nahi theen yahan agar tum na milti to tumharay mian nay to mujhy mar dena thaa k kahan guma aayin meri BV ko jab kay osay pata bhi nahi hai yahan ka khair un ko tasali dee main nay ph kar kay kheriyat ki itlaa ki aur hum ghar rawana ho gaye ghar phunchay to ek aur khabar woh yeh kay mangni mai diey janay walay suit dulhan kay saman kay sath chalay gaye aur sab sar pakar kay beth gaye wahan say la bhi nahi saktay thay aur BBq ki tayariyan bhi urooj per theen mehman bhi aana shuru ho gaye thay kia karen thakay haray sar pakar kar beth gaye martay kia na kartay k musdaq chalo kal dekha jaye ga
sab logon ko emergency mai mangni kay bulaway diey aur khair say mangni ka din bhi aa gaya suit bhi shukar hai sahi sil kay aa gaya ab rasam to shuru karo koi lekin yeh kia mangni ki angothi kahan hai
Woh to jeth kay pass hai woh banwa kar laye hi nahi (hamara gold ka apna kam hai to ring khud hi bana rahay thay wo) baray bhai ka mood kharab saas pareshan aur tym guzarta ja rha thaa aakhir kar woh aa hi gaye aur khair say mangni hoi aur apnay ikhtatam ko phunchi (Alhamdulilah)
to be continued..........
..
maliha mujhe disprin ki tablet do... uff had ho gayee waqayi...
i imagine.. kiya situation hogi..
hahaha kini bhagam bhag laga aur tailor k pas fone charge kiya Shukar hai Mangni to hui na
mazay ki surat e haal rahi hain
Amazing...I really enjoy...Aik tu Gumh hone ke baad kiya feeling hoge ush ko mahsosh kerna...kish tarah idhar udhar shop par dekhna ke kahan chale gaein..phir aik dam milne ki khushi...aik dam Engagement aur ush ki tyarii...Phir wonderful BBQ...Luckily mai apne Inlaws ki shadi mai ish tarah ki enjoyment aur etc dekh chuka so I really enjoy and feel that whole Scenario...Keep it up
wow that was something amazing
han na tum imagine nahi kar saktay kay hum nay kitna bhag bhag kay kam kiye tailor kafi purana hai 15 saal say zyada ho gaye kapray wahin say bantay hain isi liey koi problem nhi thee aur mazay ki baat yeh kay jab hum wahan gaye os nay bhabhi ko kaha aap kay mian aaye thay aap ko lenay unho nay apna dress lenay jana thaa uffff bht mazay ka scene tha un ki shakal dekhnay wali hoi wi thee/hah2
Han shukar hai mangni ho gayi emergency mangni meri khud ki shadi bhi emergency main hoi thee srf 8 din main ab mai imagine kar sakti hon wahan kia haal hoa hoga
han maza aaya bht itni bhag dor bazar kay chakar phir ring ka na hona /hah2
Gum honay kay baad koi feelings nahi theen mujhy laga woh kho gayin aur main easily ghar ja sakti thee lekin main nay yeh gawara na kia kay main unhen chor kay chali jaon 1 ghantay say ziyada main market main ghoomi thee un ki talash mai
khanay peenay kay program hamari taraf aisay hi bantay hain yeh nahi kay shadi ka moqa hai ya kuch routine mai sab chalta hai any way bht maza aaya I also really enjoyed shadi mai maza aata hai agar apna ghar samjh kay zimadari bibhaen
pasand karnay ka shukria /thnx