-
Temporary Internet Files / Cache Files
Temporary Internet Files / Cache Files
Temporary Internet Files ek Folder hota hai Windows mein, jis mein ap k Browser ki Cache hoti hai. To phir Temporary Internet Files aur Cache mein kia farq hai aur her koi yeh Temporary Internet Files ka hi word q use ker raha hota hai.
Well Temporary Internet Files asal mein Folder ka hi naam hai, aur hum issi wajah se is k ander jo files hoti hai unko bhi Temporary Internet Files hi kehtay hai, jab k woh Cache hoti hai. (Waisey Temporary Internet Files kehna asaan lagta hai bajaye Cache k, jo k thora technical word hai. Apko aisa nahi lagta )
Ager yeh sari files Junk hai to phir yeh Windows k ander kia ker rahi hai? inko to khud hi nikal jana chaiye tha, delete ho jana chaiye tha. Asal mein Temporary Internet Files ka maqsad hai ap k Internet ko Speedup kerna …Surprised? heraan hona bhi chaiye apko yeh sun ker. Aye mein apko samjhata ho yeh chiz
Jab bhi ap Internet per pehli dafa kissi website per jatay hai, to apka browser check kerta hai k woh Internet Page ap k Temporary Internet Files / Cache (Folder) mein hai k nahi. Ager nahi hai to apka browser us Internet Page ko ap ki hard disk mein Temporary Internet Files k folder mein save ker leta hai. Is tarah jab ap dubara ussi website per jatay hai to phir apka browser us site ka webpage ap ki hard disk se load kerta hai. Is tarah apka net tez ho jata hai q k website k pages ap k hard disk se load hotay hai bajaye Internet se.
Let me explain you in a more easy way… How about a Picture Demonstration
Jab bhi ap website per jatay hai pehli dafa to us webpage ka sara data, pictures, scripts wagera ap k Cache folder mein save hojata hai. Issi wajah se ap ne kabhi gor kia ho to pata hoga apko k jab ap Internet connect ker k pehli dafa koi site kholtay hai to thora time lagta hai load honay mein us page ko.
Aur jab ap dosri dafa dubara ussi site per jatay hai to phir apka browser pehlay ap k hard disk mein Cache Folder check kerta hai aur phir wahi se pages load kerta hai ussi site k. Is se Internet ki speed mein tezi ati hai thori buhat.
Good Side
In pages k save honay ki wajah se ap k Internet ki speed tez ho jati hai, aur yeh tab feel hota hai jab ap browsing kertay hai. Aur hum sab bhi yahi chahtay hai k Internet Fast chalay. Aur q k Website k pages ap ki hard disk mein save hai to ap kabhi bhi ja ker us folder mein se woh webpage open ker saktay hai aur pictures bhi dekh saktay hai chahay Internet connected ho k na ho. Is chiz ko kehtay hai Offline Browsing.
The Real Fact
Internet ki speed ka tez hojana 1 baat hai, lekin is ki wajah se dosri kitni problems ap k computer mein ajati hai in sab k baray mein janna bhi zaroori hai. Un mein se kuch chizein yeh hai:
1. Ager apka browser Internet k pages ap ki hard disk mein se load ker raha hai (Temporary Internet Files / Cache Folder mein se) to ap ko caisey pata chalayga k ap jo website dekh rahay hai woh updated hai k nahi. Means aj kal k zamanay mein jaha per websites aur blogs rozana update hotay hai for example News ki website. To aisi situation mein to ap ko new news dekhnay ko hi nahi milaygi, q k apka browser pooranay pages ap k computer mein se load karayga.
2. Ager ap computer last 6 months se use ker rahay hai aur itnay hi time se Internet bhi use ker rahay hai to ap k computer mein buhat hi ziada Cache jama ho jayegi. Jis mein se ap ager kabhi ja ker webpage ya picture dhoondna bhi chaheingay to asani se nahi mil sakti.
3. Aisa her k saath pata nahi kitni hi dafa hota hoga k ap Internet use ker rahay hai aur ek dum se PC crash hogaya, Browser hang hogaya, Internet Slow hogaya, ya PC hi restart hogaya etc etc etc. In sari problems ki wajah Junk Files bhi hoti hai
4. Sab se akhir mein, Hard Disk mein space ka masla. Mein janta ho k aj kal ki hard disk mein kafi ziada space hoti hai mager yeh Cache Files ki wajah se ap k hard disk mein kafi ziada space zaya ho jati hai.
What’s the Cache Home Address
Temporary Internet Files / Cache ap k hard disk mein save hoti hai aur iski location depend kerti hai k ap kaun sa operating system aur Internet Explorer use ker rahay hai.
=> In WinXP just copy and paste the link in the my computer’s address bar - %USERPROFILE%\Local Settings\Temporary Internet Files
=> In Windows Vista and Windows 7, the Temporary Internet Files folder is located at:
C:\Users\Owner\AppData\Local\Microsoft\Windows\Temporary Internet Files OR copy and paste below address in you my computer’s address bar
%LOCALAPPDATA%\Microsoft\Windows\Temporary Internet Files\Low
Temporary Internet Files folder Windows Vista and & Win 7 mein hidden hota hai. Is folder ko dekhnay k lye pehlay apko Folder Options mein ja ker 'Hide protected operating system files' per se check ko hatana hoga aur 'Show hidden files and folders' option enabled kerna hoga. (is folder ko dekhnay ka tarika ager mushkil lagay to mujhse email ker k pooch lejyega)
-
Re: Temporary Internet Files / Cache Files
thx for the detailed infor, good sharing
-
Re: Temporary Internet Files / Cache Files
ahaan really kool info
thanks so much sara parh k maza agaya
mazeeed threads ka intizar rahega
-
Re: Temporary Internet Files / Cache Files
-
Re: Temporary Internet Files / Cache Files
bohaat alaaa info,thanx a lot
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ
-
Re: Temporary Internet Files / Cache Files
-
47- wow zabardast thread bro
kafi detail me explain kia aap ne sab kuch
is zabardast sharing k kliye shukariyah
-
9
detail sharing or info k lye thnx... kafi kuch new cheez mili hy is mei.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules