wo ghiiR k aa’eya ghataa’ooN ki teerghi ki tarha
baras para meRa anghaN maiN chandni ki tarha
nazar bacha ke jisay dekhtey thai meraY hareef
sama gaya meRi ankhooN maiN roshni ki tarha
hawaa pe jis ke qadam haiN misaal nighat-e-gul
aseer hai meray sherooN main naghmghi ki tarha
kahaN ke sher kahaN ki gazal ye zahaN ki roo
bikhar gaye meray kaagaz pe sha’eri ki tarha
zubaan khuli hai tu dil phuut para hai surat-e-gul
wagaRna hum be thai gum ap maiN kali ki tarha
ye dhoop cha’ooN hai dunia ki khud mera saya
meray kareeb se guzraa hai ajnabi ki tarha
gham-e-zamana se dil tang thai bohat baqir
simat ke rah gaye ahsaas be-kasi ki tarha..