Guftugu achi lagi zauq-e-nazar acha laga
Muddaton ke baad koi humsafar acha laga
Dil ka dukh janaa to dil ka masla hai per humein
Uss ka hans dena hamare haal per acha laga
Har tarah ki besar-o-samanion ke bawajood
Aaj woh aya to mujh ko apna ghar acha laga
Baaghbaan gulcheen ko chahe jo kahey hum ko to phool
Shaakh se barh ker kaf-e-dildaar per acha laga
Kon maqtal mein na pohancha kon zalim tha jisey
Tegh-e-qatil se ziada apna sar acha laga....