Maaray jayen bhi to Kiyun Muffat main maaray jayen
Zindagi sirf isi dhun main guzare jayen,
Bass tera naam, tera naam pukare jayen,
Jab yeh tay hai ke yahan koi nahin ayega,
Kis ki khatir dar-o-deewar sanwarey jayen,
Aik tujh tak na pahonch paye mere dard ki aanch,
Aasman tak to mere gham ke sharaarey jayen,
Jab mulaqat na thi tab to koi baat na thi,
Ab yeh tanhai ke din kese guzarey jayen,
Yahan ghamkhawaar nahin hai wahan azaar nahin,
Kiss jahan mein yeh tere dard ke maarey jayen,
Main andheron mein nahin main to wahan jaon ga,
Woh jahan sath mere chaand sitarey jayen,
Jeet kar to kahin le jaye musalsal hum ko,
Aur hum roz teri chaah mein haarey jayen,
Marg*-e-jaan gar na sahi, marg-e- mohabbat hi sahi,
Zindagi kuch to tera qarzz utarey jayen,
Fasilon se na hua josh-e-mohabbat ka ilaaj,
Yeh to kuch aur bhi jazbon ko ubhaarey jayen,
Bazam ehbaab to tasveer ka ik rukh hai "Adeem"
Uss main dushman bhi to do chaar humaray jayen
Wassal ke baad Mohabbat ki saza theek "Adeem"
Maaray jayen bhi to Kiyun Muffat main maaray jayen
(Adeem Hashmi)