Zindagi k haqaiq itne talkh aur aziat nak hon ge kabhi socha b nhi ja sakta. Agar dekha jaye to haqaiq to bht dur zindagi khud aik talkh haqeeqat hai jise guzarna aur jis ka guzr jana do mukhtalif marahil hain. Jawani aur laubali ka dor guzrte pata nhi chalta tab tak zindagi bht khushgumanion k sath warid hoti hai is liye zindagi achi lagti hai magar jab yehi dor guzr k dosra marhala ata hai to bht se raaz fash hote hain zindagi sahi manoon me samne ati hai wo khush gumanian zindagi k maze aur rangini bht peeche reh jati hai aur hum is haqeeqat ko dekh k heran hote hain baz log to himat haar jate hain aur baz zindagi ko hara dete hain lakeen tab hum kuch nhi kar sakte.
pehle zindagi hamare hathon khilona banti hai phir hum zindagi k hathon khalana bante hai lakeen zindagi chalti rehti hai kisi k liye nhi rukti.