mere khayal sey to zaroori nai he agar qismat mien ho apko koshish to karni chiye. lekin agar koshish karne k bawjod aisa na ho to phir pyar to ap us insan se sari umar kar sakte ho shadi na b ho to. ye hamaray bas main nahi hai
asa kuch decide karna ye to sab kismat k khail hain. dua ki ja sakti hai k jis se shadi ho us k sath zehn aur dil b mil jayain to zindagi asan ho jati hai
baqi aaj kal to piyar waghaira ka ziada to drama hi hai real cheez itni nahi hai jitni bas fashion k mutabiq log show kartay hain k falan se piyaar ho gaya ya falan k baghair nahi reh saktay.
parents k decision kabhi b hamaray against nahi hotay (with exceptions of course)
so go for that its what i can suggest to all people yet unmarried........
han jis se pyar kya jae zaroori nahi us se shadi ho situation par depend karta baz waqt compromise karna parta hai life main kabhi kabhi family ki khatir bhot kuch bhi..... Mohabbat insaan k ikhtayar main nahi hoti lekin uski nazar aur us k khayalat to us k ikhtayar main hotay hain na ? Allah pak ne mohabbat se mana nahi farmaya balkay insaan k khameer main hi Mohabbat ko shamil kiya gaya hae lekin woh mohabbat yeh nahi jo hum kehtay haiN .