Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon

Bhikari Woh Ke Jis Ke Paas Jholi Hai Na Payala Hai
Bhikari Woh Jisey Hiras-O-Hawas Ne Maar Daala Hai

Mata-E-Deen-O-Danish, Nafs Ke Hathon Se Lutwa Ker
Sakoon-E-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhent Charha Ker

Lutta Ker Sari Poonji Ghaflat-O-Issyan Ki Daldal Mein
Sahara Lene Aya Hoon Tere Kaabay Ke Aanchal Mein

Gunahon Ki Lipatt Sey, Kaynat-E-Qalb Afsurda
Iraaday Muzmehehal, Himmat Shikasta Hoslay Murda

Kahan Se Laoon Takat Dil Ki Sachi Tarjumani Ki
Ke Kis Jhanjhal Mein Guzri Hein Ghariyan Zindagani Ki

Khulasa Ye Ke Bass Jull Bhun Ker Apni Roo-Sayahi Sey
Sarapa Faqr Ban Ker Apni Haalat Ki Tabahi Sey

Tere Darbar Mein Laya Hoon Apni Ab Zaboon-Haali
Teri Chokhat Ke Laeq Har Amal Se Hath Hein Khali

Ye Tera Ghar Hai Ye Tere Mehr Ka Darbar Hai Maula
Sarapa Noor Hai, Ik Mohbat-E-Anwaar Hai Maula

Teri Chokhat Ke Jo Adab Hein, Main Unn Se Khali Hoon
Nahi Jis Ko Saleeqa Manganey Ka, Woh Sawali Hoon

Subah Ghalt-E-Nadamat Dil Ki Na'kas Tarjumani Per
Khudaya Reham Meri Iss Zaban-E-Ijz-Zabani Per

Ye Ankhein Khushk Hein, Ya Rabb Inhein Rona Nahi Aata
Sulagtay Daagh Hein Dil Mein Jinhein Dhona Nahi Aata

Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon