Karam jab Aaall-e-Nabi ka shareek hota hai,
Bigar bigar ke har kaam theek hota hai..

Roz gunaah karta hu’n, woh chupata hai Apni Rehmat se,
Mein majboor apni Aadat se, woh mash’hoor Apni Rehmat se…

Khudaa ko aik mantey hain lekin,
Khudaa ki aik tak nahin mantey..

Hawaa khilaaf thi lekin chiraag bhi khoob jala,
Khuda bhi apne honey ke kya kya saboot deta hai.

Wohi rakhe ga mere ghar ko balaaon se mehfooz,
Jo shajjar se ghaunslaa girne nahin deta..

Yu’n to syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho,
Tum sabhi kuch ho, bataao to musalmaan bhi ho ?

Ajeeb Faiz Hai Aaqa (SAW) Apki Muhabbat Ka,
Durood Aap Pay Parhu’n Aur Khud Sanwar Jaaun..

Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi,
Phir bhi Mehshar men khudaya mera Parda rakhna.

Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai.

Meray Bachpan Ke Din Bhi Kya Khoob The,
Be-Namazi Bhi Tha Aur Be-Gunah Bhi…

Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shayed,
Ab Jaag bhi jaatay hain toh Sehhri Nahi Khatay…!

is kha ko hidayet day mola
us kha main milny se pehle...

nahi main mohtaj duniya ka ik tere siwa ya rab
mere sajdey kabol kar laye meri sans ke totny se pehle...

Sajdon ke iwaz firdos miley yeh baat mujhe manzoor nahin,
Be-laus ibaadat karta hon, banda hoon tera mazdoor nahin..