Kitne mausam sargardaan they mujh se hath milaney main
Main nay shayad dair kar di khud sey bahar aaney main
Ik nighah ka san’nata hai ik aawaz ka banjar pan
Main kitna tanha betha hoon qurbat ke veeraney main
Bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad kai sath
Khwab sarhaney sey uth bethe takiye ko sarkaney see
Aaj us phool ki khushbu mujh main peham shor machati hai
Jis nay be had ujlat barti khilney aur murjhaney main
Baat bananey wali ratein rang nikhaarney waley din
Kin raston par chor aaya main umr ka sath nibhaney main
Aik malal ki gard sametey main ney khud ko paar kiya
Kesay kesay wasl guzarey hijr ka zakhm chupaney main
Jitney dukh they jitni umeedein, sab sey brabar kaam lia
Main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main
Aik wazahat kai lamhey main mujh par ye ehwaal khula
Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main
Pehley dil ko aas dila kar be parwah ho jata tha
Ab to Azm bikhar jata hoon main khud ko behlaney main