kesa maftooh sa manzar hai kaii sadion se
meray qadmon pe mera sar hai kaii sadion se
khof rehta hai salaab na kaheen le jayay
mere palkon pe tera ghar hai kaii sadion se
is ke panee mein bhi pehlay sa woh tehrao nahi
to bhi bechain samander hai kaii sadion se
ashk aankhon mein sulgtay hoay so jatay hain
yeh mere ankh jo banjar hai kaii sadion se
kon kehta hai mulaqat mere aaj ki hai
tu mere rooh k ander hai kaii sadion se
yeh mujhe sans bhi kohl k nahi lanay deta
meri shah rag pe jo khanjar hai kaii sadion se
ay meri maan mein her aik dohp se lar sakta hoon
meray sar pe tere chadar hai kaii sadion se
mein ne jis ke liya her shaks ko naraz kia
roth jayay na yehee dar hai kaii sadion se
is ke adat hai jaray kat-tay rehnay ki *wasi*
jo mere zaat ka mehwar hai kaii sadion se