kisi ko chahne ka ihsaas zindagi ko roshni se bhar deta hai jis k har rang me nayi umeed chupi rehti hai aur jahan umeed ho wahan dard ka kya kaam ise mohabat kehte hain.
Ishq mohabat ki inteha hai jis ki justajoo har koi nhi kar sakta
ye wo aag hai jo har bhati me nhi sulgayi ja sakti. Ishq hasil ka nhi lahasil ka junoon hai khawahish e natamam hai ishq ka janam hi judai ki kokh se hota hai aur bhala judai rahat de sakti hai judai to dard deti hai aur jab ye dard laho ban k jism me behta hai to phr koi umeed baqi nhi rehti.
Ishq wo aag hai wo jalaye to rakh nhi karta fanaa kar deta hai
(ISHQ- E -AATISH)