Agar yeh jaan jao tum
Koi keay ujarta hai koi kesay bikharta hai
To mere pass aana tum
Meri banjar hoti aankhon main jaltay khawab takna
Aur un ka marsiya sun'na
Agr aisay nahi mumkin!
To meri zindagi ki diary ko khol kar parhna...!
Kay is kay har waraq per aanso'un say maat likhi hai
Jo tum say keh nahi payi wohi har baat likhi hai
Tumhari chahton kay naam apni zaat likhi hai
Agar yeh diary parh kay bhi tum ajnan rehtay ho
To is ka hai yehi
Matlab meri sab iltajaen hawaon main mualiq hain
Abhi kuch wqt baki hai badal jao pighal jao
Kahin aisa na ho yeh waqt hathon say phisal jaye
Rasta hi badal jaye
Abhi bhi laut aao tum
Abhi teri wafaon per mera aiqan zinda hai
Yehi aiqaan to ab tak mere jeenay ka hasil hai
Agar yeh kho gaya to sab hi kuch choot jaye ga
Muqadar rooth jaye ga
To phir tum jaan jao gye
Koi kesay ujarta hai koi kesay bhikarta hai....!