Muhabat pyas Ki manind
(Written By:Life is Love)
Mohabat Pyas ki tarah hai.Jish tarah Pyas se insaan bilbila jata wo seharaoon mai pani ki talash mai bathkta phirta hai jab kahin door ushe koi chamkte cheez nazar ati hai tu wo ush ki ummed jaga jati hai wo ushe ko pani samjh ke lapakta hai haqeaqat mai wo nazar ka dokha hota hai.Magr ye dokha ush ke azaim ko muta zalzal nahi karta wo tu pyasa hai wo nahi janta ke manzil kitne door hai wo tu shidate pyas se nidhal hai wo nahi janta ke kiya wo manzil tak ponch bhi paee gaa ya pyasa hi mar jaee magar ush ki har sans ush ko hosla dete hai wo jab jab girta hai aik naye azm aur hosle ke sath uthta hai zameen par parhne wala har kadam ush ke andar aik naye rooh ponkhta jata hai har subah ush ki zaat mai aik naye umang jagati hai ush ka yakeen asmaoon ko choo raha hota wo manzil ko pane ka yakeen rakhta hai wo shikast ko kisi toor par kabool karne ko tayar nahi hota wo apni akhri sansh tak jadojehad karne par yakeen rakhta hai wo kabhi na umeed nahi hota ush ki sachi mohabat har naye din ke soraj ki kirnoon ki tarah pore abo tab ke sath jagmagate hai wo agr dobta bhi hai tu tuloo hone ke liye..ush ki mohabat thate marte hoie samandar ki tarah hoti hai Darhaqeqat sachi mohabat karne wala shaksh apni akhri sansh tak shama jala ke rakhta hai aur parwane ke tarah jal kar ish jahan-e-fani se Koch kar jata hai……