“Her waqt Khuda ky ahsanaat ko Yaad kiya ker.
Ghor kia ker ky her saans Khuda ke inayat hai.
Yun dil mein shukarguzari paida hoge.
Pher tu be-basi mehsoos kary ga ky itny ahsanaat ka shukar kaisay ada kia jaa skta hai.
Wo be-basi teray Dil mein Mohabat paida kary ge.
Tu sochay ga ky Malik ny baghair kise gharz tujhy nawaza hai.
Tjh sy Mohabat ke.
Tu ghor ker ky itni bari Duniya mein ,karooron insan…o ky bech tu kitna hakeer hai.
Sainkaron ky majmay mein bhe tere pehchan nhe.
Koi tujh pe dosri nazar nhi dalay ga.
Kise ko parwa nh hoge ky koi Ilahi Bakhsh bhi hai lekin tera Rab kararoon insaano ky bech bhe tujhy Yaad Rakhta hai, tere zaroriyat pori Kerta hai, tere behtaree Sochta hai aur tjhy ahmiyat Deta hai.
In sab baaton per ghor kerta rahay ga tou teray Dil mein Khuda ke Mohabat paida hogi.
Is Mohabat kay sath bhi yeh sab kush sochta rahay ga tou Mohabat mein gehrai paida hogi.
Aur pher tjhy Khuda Sy Ishaq hojay ga “
( Ishq ka Ain )