Aik molvi sahab Allama Iqbal k pass aksar aya kerte thy.wo apni her mulakat main is baat per afsoos kiya kerte thy.
k app islam se itni geehri wabastagi hone k bawajood dahri ku nahi rakhte?
Allama Iqbal muskura kr inn ki baat taal jaate thy.aik din molvi sahab , Allama Iqbal se is baat per qonooni mashwara talab kerne lage k wo marhom walid ki jaidad se apni behan ko kis tarha bedakhal kr k soo% hise k akeele malik ban sakte hain.Allama Iqbal ne sanjeedagi se un ki baat suni or kehne lage or kehne lage.
app moodat se mujhe islami shariat k mutabiq darhi rakhne ka mashwara dy rahe hain.aaiaye ajj ham tay kr lete hain .app shariat k qanoon k mutabiq apni behan ko is ka hisa dene ka aahad ker lijeeaye----main b darhi rakh leta hun..
molvi sahab ye sun kar sharminda ho kar uth khare huay...
is k bad Allama Iqbal k mulaqation main inhain kisi ne nahi dekha.....