(One of My Very Favorite Perveen Shakir Super Poetry)
Tarash kar mere bazu uraan
chhor gaya,
hawa ke paas wo barhana
makan chhor gaya,
rifaqaton ka meri usko dhayan
kitna tha,
zameen le li magar asman
chhor gaya,
ajeeb shakhs tha barish ka
rang daikh ke bhi,
khulay dareechay pe ik phool
daan chhor gaya,
jo badalon se bhi mujhko
chupa ke rakhta tha,
barhi hai dhoop to be saaibaan
chhor gaya,
uqab ko thi gharaz fakhta
pakarne se,
jo gir gai to yunhi neem jaan
chhor gaya,
na jaane kon sa asaib dil
main basta hai,
k jo bhi thehra wo akhir
makaan chhor gaya,
Aqab Mai Ghehra Samandar
hai samne Jungle
Kis inthia Par Mera Meharban
Choor Gaya hai