Page 2 of 2 FirstFirst 12
Results 11 to 12 of 12

Thread: Writers club competition April 2013

  1. #1
    Join Date
    Jun 2011
    Location
    China
    Posts
    4,834
    Mentioned
    29 Post(s)
    Tagged
    9237 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Writers club competition April 2013



    iss dafa ap ko lafz 'umeed' par likhna hay

    Rules:

    1. aik member aik he bar post kar sakta hay

    2.last date 20-04-2013 hay.

    3.Winner 50% poll aur 50% Adminz decide karen gye..
    Zindagi tu apnay he qadmun pe chalti hay Faraz
    Auron k Sahary tu Janazy utha kartay hain

  2. #11
    ~Anjana~'s Avatar
    ~Anjana~ is offline κнαмσσƨн ∂ιℓ
    Join Date
    Dec 2010
    Location
    Jinzhou, Liaoning, China, Madinah Saudi Arabia
    Posts
    12,430
    Mentioned
    91 Post(s)
    Tagged
    7849 Thread(s)
    Rep Power
    895529

    Default Re: Writers club competition April 2013

    " Umeed "
    Yeh aisa lafz haii jo har kisi ki mushkilaat mein kami karnei kaa zariyaa hai ..
    bachoN say jawaano nasal tak aur jawaan nasal say buzurgi tak yeh " Umeed " ka daman hai jo kabhi pichaa nahi chorta ..
    " Umeed " hamain kabhi zindagii kay us muqaam par lei jati hai jahan sirf tasawur hi kar saktey hein , aur kabhi " Umeed " kay tootnay say ham wahan ajatay jahan say phir zindagi ko zindagi ki tarah jeena dushwar hojata hai ..
    woh jholay mein laitaa apnay nannay hathoon say khilonay say khail raha tha .. saath hi bethi maa uskay jhoolay ko jhulaty howay buhut si " UmeedeiN " kayam karnei mein masroof thee .. subah say kam dopehr hogai usay nahi pata chala ..
    woh apni " UmeedoN " mein gumm yeh sochei ja rhi thee jab uska Lakht e jigar bara hooga tu woh apni maa , baap ka sahara banai gaa .. jab uske maa baap iski halat aaj hai wasay hojain gey tab woh apnei maa baap ko isi tarah bethey khidmat kareiga .. apne maa baap ka naam isi tarah roshan kareiga jis tarah iska hansta muskurata chehra roshan hai .. Woh Apni maa baap ki Qabar pe aye jab 2 ashak bahaye ga aur walidein k liye dua karei ga to yeh aur fakhar mehsoos karein gey .. yeh woh " Umeedein " hain jo aik maa baap ko apni olaad say hain ..
    GolioN ki awazain taiz hoti jaa rhe hein .. sarhad paar say dushmano kay hamlay mein koi khamoshi honai ka imkaan nazar nahi aa rha haii .. achanak aik kam sin jawaan sarhad kay us par say ay hamlei ka jawaab deta hai .. aur kuch pal k liye jang mein khamooshi ajati hai ..
    woh darakht ki chaaooN mein laita yhi soch rha hota hai kay aaj yeh jung jeetey gei , aur wapis apnei ghar apni maa k qadmo mei jaa k araam kareiga .. apnii nani behan kei liye jahaiz ka samaan bhi tayyar kareiga .. apnay chotay bhai ko Doctor banai ga
    apnay buzurg baap say jaa kar apni kamar pe do shabashi k thappar khayega .. aur apni is shujaat ko agar woh poraa kar saka tu Woh Ghazi banai gaa agar isi raah mein Mulk ki hifazat kartey howay jaan dei dee tu " Shaheed "
    Yeh " Umeed " hi haii jo hamain hamaisha jeetey rehnei ka dars deti haii

    Sun Yaara Sunn Yaara
    Tere IshQ Daa Cholaa Paaya

  3. #12
    Hidden words's Avatar
    Hidden words is offline "-•(-• sтαү мιηε •-)•-"
    Join Date
    Nov 2011
    Location
    Kisi ki Ankhon Aur Dil Mein .......:P
    Posts
    56,916
    Mentioned
    322 Post(s)
    Tagged
    10949 Thread(s)
    Rep Power
    21474906

    Default Re: Writers club competition April 2013

    suno hworiginal - Writers club competition April 2013
    575280tvjrzkx7ho zps19409030 - Writers club competition April 2013ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ 575280tvjrzkx7ho zps19409030 - Writers club competition April 2013

Page 2 of 2 FirstFirst 12

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •