aik tehreer umeed pe /up
Umeed pe duniya qayem hai. umeed ik khiyal hai ik tasawur hai jo k achay natayej k liye bilkhasoos hota hai. Umeed k dum pe insaan apni zindagi ka bara hissa kaat leta hai. Jab har taraf andhera cha jaye aur insaan ko kuch dikhayi na de raha ho tab b insaan ko kahin na kahin umeed ki kiran nazar arahi hoti hai k woh in sab mushkilaat o azmayeshon ko ba aasani paar kar ley ga. bebasi insaan ko mayusi ki taraf le jati hai jo k bazat e khud ik kufar hai par umeed ki aas pe insaan ko hosla rehta hai himmat rehti hai aur woh har tarha ki takaaleef o mushkilaat ko aarzi samajhtay huwaye paar karta jata hai.. mayusi ik saakin cheez ka naam hai jo k juun ki tuun rehti hai.. Insaan ko behtari ki taraf anay se rok deti hai..jab k umeed apnay main tabdeeli rakhti hai aisi tabdeeli jo insaan ko aik behtar zindagi ka dars deti hai.. haliya mushkilaat ko aarzi bana deti hai aur insaan ko uski jidojehad main hosla o himmat faraham karti hai. Umeed se hai duniya qayem
![orange rose](images/smilies/orangeabli.gif)