Page 11 of 14 FirstFirst ... 910111213 ... LastLast
Results 101 to 110 of 138

Thread: Nazam Shayari Collection

  1. #101
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Mein Bhool Jaoon Tumhein Ab Yehi Munasib Hai,
    Gar Bhulna Bhi Chahoon To Kis Tarah Bhuloon?
    K Tum To Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khwab Nahi,
    Yahan To Dil Ka Ye Aalam Hai Kya Kahoon
    Bhula Saka Na Ye Wo Silsila, Jo Tha He Nahi,
    Wo Aik Khayal Jo Awaz Tak Gaya He Nahi,
    Wo Aik Baat Jo Mein Keh Nahi Sake Tum Se,
    Wo Aik Rabt Jo Hum Mein Kabhi Raha He Nahi,
    Mujhe Hai Yaad Wo Sab Jo Kabhi Hua He Nahi,
    Agar Ye Haal Hai Dil Ka To Koi Samjhaye,
    Tumhein Bhulana Bhi Chahoon To Kis Tarah Bhuloon?

  2. #102
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Bheegi AankhOn WaLi Larki
    Meri Taraf Jab Daikhti Hai Tu
    Mann Main JaL ThaLL Kar Jati Hai
    Mujh Ko PagAL Kar Jati Hai. .

  3. #103
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Bura Na Man Agr
    “TujKo Pyar Krti Hon”
    Gunah Kon Sa Aisa
    “Main Yar Krti Hon”
    …
    Meri Khataon Main
    Meri Samjh Ka
    “Nhi Koi Dakhal”
    Main Jo Bhi Krti Hon
    “Be-Ikhtyar Krti Hon”
    Tu Kitny Pyar K Qabil Hai
    “Kya Khabar MujKo”
    K Main To Jitna B Mumkin
    “Hai Pyar Krti Hon”
    Woh Ghair Ho Ya Sajan
    “Koi B Ho Mgr Us Sy”
    Main Tera Tazkra
    “Dewana War Krti Hon”
    KHUDA Ki Duniya Sy Itni
    “Mohabt Nhi Hai Shayed”
    KHUDA K ek
    Bandy Ko Main
    “Jitna Pyar Krti Hon,

  4. #104
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Usay Kehna Bicharne Se Muhabat Tu Nahi Marti
    Bichar Jana Muhabat Ki Sadaqt Ki Alamat Hai
    Muhabat Ek Fitrat Hai, Han Fitrat Kab Badaltai Hai
    So, Jab Hum Door Ho Jaein,
    Naye Rishton Mein Kho Jaein
    Tu Yeh Mat Soch Lena Tum,
    Keh Muhabat Mar Gaye Ho Gi
    Nahi Aise Nahi Hoga
    Mere Bare Mein Gar Tumhari Ankhein Bhar Ayein
    Chalak Kar Ek Bhi Ansu
    Palak Pe Jo Utar Aye
    To Bas Itna Samaj Lena ,
    Jo Mere Nam Se Itni Tere DIL Ko Aqeedat Hai
    Tere Dil Mein Bichar Kar Bhi Abhi Meri Muhabat Hai
    Muhabat Tu Bichar Kar Bhi
    Sada Abad Rehti Hai
    Muhabat Ho Kisi Se Tu Hamesha Yaad Rehti Hai
    Muhabat Waqt Ke Be-Reham Tufaan Se Nahi Darti
    Usay Kehna Bicharne Se
    Muhabat To Nahi Marti

  5. #105
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    chalo kuch dair hastay hain
    mohabbat par innayyyat par,
    k yeh be bunyad batain hain
    sabhi rishtay,sabhi naatay,
    zarurat ki hain ejaadain,
    kahin koi nahin marta,
    kisi k wastay janaan,
    k sab hai phair lafzon ka,
    hai sara khail harfon ka,
    na hai mehboob koi bhi
    sabhi jumlaay se kastay hain
    CHALO KUCH DAIR HASTAY HAIN,
    usi ko yad kartay hain,
    jissay hum zeest kehtay hain
    k sans lena bin jis k
    hamain ik jurm lagta tha,
    k sung jis k har lamha,
    khush o khurram sa lagta tha,
    jissay hum zindagi kehtay ,
    jissay hum shairi kehtay
    ghazal ka qaafia tha jo
    nazam ka jo unwaan tha
    woh lehja jab badlta tha
    qayamat khiaz lagta tha
    waqt se aagay chalta tha
    balaa ka taiz lagta tha
    jo saya ban k rehta tha
    JUDA AB US K RASTAY HAIN
    CHALO KUCH DAIR HASTAY HAIN!!
    CHALO KUCH DAIR HASTAY HAIN!!~

  6. #106
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Jo Kuch Din Sath Reh Leytey
    Jo Kuch Din Baat Ho Jaati
    Manany … Rooth Janay Ka
    Agar Ye Silsila Rehta !!!!
    To Phir Jana’n !!
    Muhabbat Ho Bhe Sakti Thi ….

  7. #107
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Mohabbat jhoot lagti hai
    ik khokhala jazba
    jise izhar ki her waqt khawaish ho
    kahe jane ki,sunne ki
    jise her pal zaroorat ho
    “muje tum se mohabbat hai”
    na jane roz kitne log
    is jumle ko sunne k liye bedar hote hain
    ye aisa jhoot hai jis ka seher
    sadion se taari hai
    magar janan!!!
    Mohabbat jab kabhi izhar ko tarse
    koi tum se agar keh de
    “muje tum se mohabbat hai”
    to us ki baat mat sunna
    mohabbat rooh se phoote
    mohabbat aks ban jaye
    to phir tum ko yaqeen aaye
    k main ne sach kaha tum se
    mohabbat rooh ban jaye
    to phir is ka yaqeen kerna
    werna ik jumla koi kitni bar dhuraye
    kahe jaye
    nahi sunna
    mohabbat jhoot hai janan!!!
    Agar izhar ki is ko zaroorat ho.

  8. #108
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Hum aksar yeh samajhtay hain
    Jisay hum piyaar kartay hain
    Usay hum bhool baithay hain..
    Magar aisa nahin hota..
    Mohabbat daimi sach hai
    Mohabbat thahar jaati hai.. !!
    Hamari baat kay andar
    Mohabbat baith jaati hai
    Hamari zaat kay andar magar
    Yeh kam nahin hoti.. !
    Kisi bhi dukh ki soorat mein
    Kabhi anjaan se gham mein
    Kabhi lehjay ki thandak mein
    Udaasi ki soorat mein
    Kabhi baarish ki soorat mein
    Hamari aankh kay andar
    Kabhi aab-e-rawan ban kar
    Kabhi qatray ki soorat mein
    Bazahir aisa lagta hai usay
    Hum bhool baithay hain magar
    Magar aisa nahin hota….
    Yeh hargiz kam nahin hoti…
    MOHABBAT THAHAR JAATI HAI…….!!!

  9. #109
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Meri baat abhi khatm hi kahan huwi thi,
    Meri to zaat bhi badnaam jahan huwi thi,
    Mein ne to tum se bahot kuch kehna tha,
    Meri aankhon ko bhi sawan ki tarhan behna tha,
    Tum ne mujey kuch na kehne ke kabil samjha,
    Faqat raahon mein pare pathron ke muqabil samjha,
    Ab aye ho mere pass kya kehne ko..?
    Ab to aankhon mein ik aansoon bhi nahi behne ko,
    Mera to aek hi khawab tha wo to toot gya,
    waqt mutthi se rait ki tarhan choot gaya…

  10. #110
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    karachi
    Age
    39
    Posts
    716
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    766 Thread(s)
    Rep Power
    15

    Default Re: Nazam Shayari Collection

    Mera naam hai mohabbat !
    Khoyi khoyi si
    Dheemi dheemi si
    Thori unkahi
    Thori si muskuraati
    Do dilon ki hai ijazat
    Mera naam hai mohabbat
    Bheege sapney
    Kachi yaaadein
    Choti choti dil ki baatein
    Kehti hai yeh zindagi
    Kaisi hai deewangi
    Koi rehta hai
    Aahaton ke sahaarey
    Choolun to sansanahat
    Mera naam hai mohabbat
    Kuch tehreerein
    Likhte rehna
    Apne ghar mein chalte rehna
    Anjaani baaton mein bhi
    Hoti hai dil ki lagi
    Sookhe lamhon mein
    Baarishon ke kinaarey
    Honton pe hai shararat
    Mera naam hai mohabbat …..

Page 11 of 14 FirstFirst ... 910111213 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •