-
Re: Nazam Shayari Collection
Rishtaa tore ke janey waley,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Ab ki Eid pe,
Mujh ko jitney card miley hain,
Un cardon mein sab se pyara,
Sab se acha,
Pehla card tumhara hai,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Zara kaho to,
Yeh kiss aur ishaara hai ???
-
Re: Nazam Shayari Collection
Tum se jab baat nahin hoti,
Kisi din jaanam,
Aese chup chaap guzarta hai,
Yeh sunsaan sa din,
Aik seedhi si lambi sarrak par jese,
Saath chalta hua rootha hua sathi koi,
Mu’n phelaye huye naraaz sa,
Khamosh,
Udaas..
Aur jab milta hoon,
Hanss parta hai yeh rootha din,
Gud’gudaa* kar mujhe kehta hai,
“Kaho kese ho??â€â€¦
-
Re: Nazam Shayari Collection
Nazam uljhi huyi hai,
seeney mein,
Sher atkey huye hain,
honton per,
Lafz kaaghaz pe bethtey hi nahin,
Urrtey phirtey hain titliyon ki tarah,
Kab se betha hua hon main,
janam,
Saada kaghaz pe likh ke naam tera,
Bass tera naam hi mukammal hai,
Iss se behter bhi nazam kya hogii..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Aalim-e-mohabbat mein,
Ik kamaal wehshat mein,
Be-sabab rafaaqat ka,
Dukh uthaana parta hai,
Titliyaan pakarney ko,
Door jana parta hai..
-
Re: Nazam Shayari Collection
December ke haseen din they,
Murree ki yakh fizaon mein,
Hamare chaan hathon ne,
Snow man ik banaya tha,
Kaha tha aik doojey ko,
Nishaani pyar ki apni,
Bari hi khubsurat hai,
Magar pyaare,
Snowman barf ka tha woh,
Usey aakhir pighalna tha,
Usey aakhir bikharna tha..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Ik larki,
Pagli si, Diwani si,
Masoom si, Anjaani si,
Apne ghar ki mundair per bethi,
In galiyon aur chobaaron ko,
In koochon aur bazaaron ko,
Dekhti hai..
Jahan us ne apna bachpan guzara tha,
Us ki aankhon mein tha,
Intizaar..
Kisi ka!
Magar usey kaun samjhaye,
Ke bachpan ke vaadey to,
Kacchi dor ki tarah hote hain,
aur,
Bhala jane waley,
Kab laut kar atey hain..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Meine ghar ke sarey mausam,
Sab deewarain,
Saarey pardey,
Yaadon se rang daaley hain,
Tum aao ge,
Tum is ghar ki har khirrki,
Har bagheechey,
Har ik goshay ko,
Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge,
Aajao na!!
Aa bhi jao!!
-
Re: Nazam Shayari Collection
Chalo Hum Maan Lete Hain,
Tumhen Hum Khoo Chukay Lekin,
Tumhri Yad Ab Tak Bhi,
Hamain Betaab Rakhti Hai,
Hamari Sans Ab Tak Bhi,
Tumhari Aas Rakhti Hai,
Magar Ab Ye Bhi Suntay Hain,
Tumhari Raah Roshan Hai,
Tumhen Bhi Mil Gaya Koi,
Magr Afsos,
Hum Jesa,
Agar Pao Kahin Tum To,
Mujhe Doo Harf Likh Dena,
Ke,
Manzil Mil Gai Mujhko..!!
-
Re: Nazam Shayari Collection
Baar’haa aese laga,
Jese tera hath,
Mere baalon ko chuaa ho,
Tu ne mujhse kaha ho lekin,
Raat bhar rootha raha,
Tu ne manaya hi nahin…
-
Re: Nazam Shayari Collection
Mujhe malom tha jana
Wo jhooth tha tera..
Wo dosti ka vaada
Mohbbat se bhi zyada
Sath rehne ka irada
Kabi poora kbi aadha
Wo paglpan b jana
Kasur tha tera
Mujhe malum tha jaana
Wo jhuth tha tera..
Ye majburio’n to janeman
Bahaar ko hi hain
Zamane ne sath bhe
Diya kab hai
Wo jate jate jana
Muskra dena tera
Mujhe maloom tha jana
Wo jhooth tha tera..
Duriya’n jeet gayi mujhse
Ya teri zidd ki jeet hui
Aur teri yaadein mere zehen mein
Har pal gunjta geet hui
Wo tere naino me ashq lena
Bana ke masum sa chehra
Mujhe malum tha jaana
Wo jhooth tha tera..
Dil torra kisi ne
Saza kise milti rahi
Meri qismat meri mohbbat ko
Dil’lagi likhti rahi
Wo inkar-e-jwab-e-mulaq+at
Lga k bandisho’n ka pehra
Mujhe maloom tha jana
Wo jhuth tera..!
Kisi ke bichrney se
Zindgi ruk toh nhi jaati
Bas adhuri reh jati hai
Jo phir kabi puri ho nhi paati
Jeet tera wo na thikana
Jis dar pe tu aakr hai thehra
Mujhe maloom tha jana
Wo jhooth tha tera..!
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules